Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai M’asoom Namazi
Palken Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthti Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Nam-Naak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Hui Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Hui Gham-Geen Si Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachchaai
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayaat
Kis Qadar Hain Teri Aankhen Be-Baak
In Se Fitne Bhi Haya Karte Hain
[Daagh]
--------------------------------
‘Meer’, Un Neem-Baaz Aankhon Mein,
Saari Masti Sharaab Ki Si Hai
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Khilna Kam Kam Kali Ne Seekha Hai,
Teri Aankhon Ki Neem-Khwaabi Se.
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Kin Neendon Ab Tu Soti Hai, Ai Chashm-E-Giriya Naak,
Mizhgaan To Khol, Shahr Ko Sailaab Le Gayaa.
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Chashm-E-Najm-E-Sapahir Jhapke Hai,
Sadqe Is Ankhriaan Ladaane Ke.
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Ek Sab Aag, Ek Sab Paani,
Deeda-O-Dil Azaab Hain Donon.
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Ashk-E-Tar, Qatra-E-Khoon, Lakht-E-Jigar, Paara-E-Dil,
Ek Se Ek Adoo Aankh Se Behtar Nikla.
[Mir Taqi Mir]
--------------------------------
Kal Lad Gain Kooche Main Aankhon Se Meri Aankhen
Kuchh Zor Hi Aapas Main Do Do Huin Samaghaaten
[Sauda]
--------------------------------
Aalooda Chashm Mein Na Hui Surma Se Nigah,
Dekha Jahaan Se Saaf Hi Ahl-E-Safa Chale.
[Zauq]
--------------------------------
Jo Chashm Ke Be Nam Ho, Ho Khwar To Behtar,
Jo Dil Ke Ho Be-Daagh, Jal Jaaye To Achcha.
[Zauq]
--------------------------------
Aankhen Meri Talwon Se Woh Mal Jaaye To Achcha,
Hai Hasrat-E-Paa-Bos, Nikal Jaaye Tp Achcha.
[Zauq]
--------------------------------
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha
Kishti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha
Woh Shakhs Mere Masaayal Ko Samajh Nahin Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samandar Nahin Dekha
[Bashir Badr]
Kyaa kahen kitne maraasim the hamare unse
Weh jo ek shakhs hain mooh fer ker jaane waala
(Ahmed Faraaz)
-
1 दिसंबर
Namaloom :
Raat U'ss Ne Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chaa'ndni December Ki
Barishe'in December Ki???
Main Ne Kehna Chaa'ha Tha
Saa'l-O-Maah K Bare Mein
Gufta'gu Ke Kya Maa'ni ??
Chaa'he Koi Manzer Ho
Dash't Ho , Samandar Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Har Naghm'a
Manzaron Pe Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaise
Ek Nash'aa Sa Taa'ri Hai__!!
Lekin Us Ki Qurbat Mein
Kuch Nahi Kaha Main Ne
Taa'kti Rah Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki
Barishain December Ki...!!!