-
Winner of Mohabbat Kadah Comp December 2014
Winner hain
Arosa Hya
Sawal Yeh Tha...
"Kia Mohabbat Main Koi Baat Buri Nai Lagti ? Aagar Aisa Hai Tu Phir Mohabbat Main Narazgi Kio Hoti Hai"?
inka jawab yeh tha...
baki tamam members ka bhi sukriya jinho ne comp main part liya...
Kisi b baat ka bura lagna aik fitri amal hai, lehaza her insan ko koi na koi baat buri lagti hi hai aur iska radd e amal b zahir hoga gussa, khafgi ya nazagi ki sorat mai. Lekin Muhabbat chon'k aajzi, sabar o isteqlal or bardasht sikhati hai to apka radd e amal b us shakhs se unsiyat k mutabik hi hoga.
Aam tor pe ap boht se logon ko muhabbat krne ka dawa kerty dekhty hain lekin phir b jagry, narazgi , na pasand kam hoty hain magar phir mahol pehly ki tra ho jata hai... ye understanding level hai jo achi families aur pukhta rishton mai nazar ata hai k jo bura laga uska izhar kia aur apna dil saaf kr k phir se pehle ki tra aik ho gaye. Agar ye cheez na payi jaye to tmam rishty pheky parh jayen aur adavtain aur bughaz kbi khatam nhi ho sky ga.
Kuch logon ko muhabbat mai boht kuch bura lagta hai magar wo zabt kr jaty hain, khamosh rehty hain aur nazrazgi zahir hi nhi krty chahy kisi baat se kitna hi dil dukha ho, ya kitni na pasand guzri ho... aisa wo sirf us tauluk ko bachany k liye krty hain jo inhain be had aziz hota hai
.
Aur teesri kisam k log nayab... k bjaye kamyab kaha jaye to munasib hai. Inhain mehboob ki koi baat buri nhi lagti, koi aib nazar nhi ata, ye bas muhabbat krna janty hain. in k dil intehayi narm aur muhabbat mai bhary hoty hain, Ye kbi khafa nhi hoty sb kuch bkhushi seh jaty hain...na pasandeeda baton ko b enayat smj k khush rehty hain!!
-
-
-
Mohterma aapne Arosa Haya ko
jita ker honsla afjaayi ki. shukriya.
Sirf do jane the. Pahle waala time gaya
SD ki membership bahut kam ho gayi. Hamain to
Sawaal dam nahin aaya. Khair jo bhi ho. Shukriya,
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules