Aaj Saal Ka pehla din guzar raha hai ...meri yehe koshish rahi k main sara din sub acha acha karney ki he koshish karon...zahri baat hai insan umid tu achi ki he rakhe ga tu usey phir agey bhi acha he miley ga Insha Allah..hum logo ki zindagi ka sara bharosa yehe hota hai k hum log Allah Pak ki zaat per bharosa kartey hain...Hum bhot khush naseeb hain k hum Muslim gharane main paida hue...!!!
Nabi Pak k Umaati hona kisi fakhar se bhala kaam hia kia...!!! Unki Aik choti si bhi sunnat ko apnatey hain tu us main hamarey liye dheeron faidey hotey hain...kuch hum samjh naih patey or kuch jab hum samjh jaye tu hum sukur he ada kartey hian k Allah Pak ne hamain muslim paida kia...!!!
Baat hai Khushi ki...Nabi Kareem ne kabhi bhi apni zaat se kisi ko dukh nahi diya...hum tu unk qadmon ki khaak bhi naih ...wo tu bari se bari baat per bhi apne se dosron ko khushi he detey rahey hain...!!!
Aaj maine socha k kio na ghar se he aghaz kia jaye...jo hamare ghar main kaam karne wali Masiyan hian maine unko bhot choti si khushi de ...mere liye tu wo choti he hue leken pata nahi unk kitney masle hal hue hongai...Maine Aaj Saal k pehley din unko kuch paise diye...jab k her taraf sub khushi mana rahe wo gharon ka kaam kar rahe hain...Mujhe dil se bhot bura lagta hai...Main chahti hon k sub barabar hojaye Allah Pak sub ko dene wala bana de koi b kisi se kuch na mangey...Mujhe kisi k phailey hue hath bardash naih hotey ...Un Masioun k Chehron per itni khushi aye ...Yeh wo aik CHoti si Khushi thi jis se maine Apne Din ka Aghaz kia...Her insan k andar aik jazbati insan chupa hota hia...baz dafa bhot choti choti baataon per ankhain num hojati hian...yaqeen karain yeh sub likhtey hue bhi maine kaye baar apni ankhian saaf ki hian...haan main jazbati hon bhot jazbati hon...kisi ki roney wali baat sun ker mujhe rona ajata hai...ankhon main ansoo ajatey hain...kaye bar control karna parta hai...leken agar hum kisi ko apni zaat se choti si khushi de sktey hain tu hum bilkul chotey nahi hongai...hum bhot barey hojaye gia...hamain sakon miley ga ...aik qadam barhaye khushi ki janib...logon ko apne apni zaat se khushi de ...dekhiye phir zindagi main kaise sukh shamil hojaye ga ...jo bhi phir app ki zindagi main dukh hai wo rahey gai he nahi ..jab dosron k dukh nazr aye gai tu apna dukh tu haqeer hojaye ga...!!!
Apney Andar se wo chupey hue insan ko bahir nikalne ki zarorat hai ..achai ki taraf qadam barhane ki zarorat hia ....apne irdgird k logon ko apni zaat se choti choti khushiyan dijeye ...zindagi main nikhar ajaey ga...Insha Allah