-
Remaining...
apne Roz k mamol mai ap dosron ki madad ker k sachi khushi hasil ker skty hain
Jese k,
Kisi zrorat mand ki zrorat pori ker k,
Kisi yateem bachy ki diljoye ker k,
Kisi bewa/ Ghareeb ki mali imdad ker k,
Apny khany mai kisi bhoky hamsaye ko yaad rakh k,
Kisi yateem bachy ko khana khila ker,
Kisi zayef ko sarak paar kerwa ker,
Apne doston or ehbab se mukhlisana rawayya ikhteyar ker k,
Dosron se jalny ya apni kisi shae per gharor kerny k bjaye ALLAH ka shukar ada ker k aur dosron ki hosla afzayi ker k,
Tahaif k tabadla se,
Rishtedaro se ALLAH ki raza k liye darguzar aur qurbani se,
Apni her she k liye ALLAH ka her haal mai shukar ada ker k
k Us ne jo dia khob dia, behtreen dia,
ALLAH aur us k bandon ka ehsan man ker jis se aajzi paida hoti hai,
Aur bachon se pyar se paish aa ker
unki candies share ker k khany se b boht khushi hoti hai
Aur behaviours mai polite reh ker ek dosry se hasi mazak kerny se
bjaye is k k ap apne gusse ya ana k khol mai lipty rahain aur dosry ap se baat krny se b darain
Khas tor pe siblings se shraratain ker k
soye hoay pe achanak pani phaink (summer mai winter mai bhol k b nhi krna warna anjam apka apna hoga)
Soty hoay k moun pe marker se monchain bna k
Dosron se baton baton mai kam kerwa k
Choty siblings se apna kam kerwa k unko tense sikhany k badly
Qasam se boht khushi hoti hai
Apne parents ko hmesha muskura k milny aur ehtram krny se,
Unhain her mamly mai priority deny se
Doston ko kbi kbi problems mai dalny se
jese k
un k bag se paise nikal ker unko treat dena
bags mai books shuffle kerna
kitny khushi k kam ho gaye wow
Aur Aur Aur
Sb se barhi khushi, Rooh ka saroor or itmainan ye hai k
Ap insaniyat se sirf muhabbat hi muhabbat krain
Aur ye sirf ALLAH k liye krain!
Piyare ALLAH T a'ala apko dhairon khushiyoun se nazwazain aur dosron k liye khushi ka zariya bnayen. Ameen
Fe aman ALLAH
Last edited by Arosa Hya; 21-01-2015 at 02:54 AM.
Reason: missing words
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules