Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 11

Thread: Mohabbat Kadah Competition January 2015

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Mohabbat Kadah Competition January 2015



    "Sawal Sawal Sawal...
    Mohabbat Main Itne Sawal Kio Paida hojatey hain...Aur Agr un sawalon k jawab na miley tu dil murjha sa jata hai...Aisa kio hota hia...Mohabbat tu toat kar chahney ka naam hia tu phir Mohabbat Sawal kio karti hai...?"



    Tu Yeh Hai Is Bar Mohabbat Kadah Ka Sawal...


    Rules:


    Ek member ek hi baar share karay ga
    Same aur edit sharing accept nahi hogi
    Last date
    28/1/2015 hai
    Winner Admins decide karen gy.

  2. #2
    Join Date
    Dec 2014
    Location
    soudi arab makkah
    Age
    37
    Posts
    599
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    92 Thread(s)
    Rep Power
    214760

    Default

    Hazaron Dukh Parray Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
    Hai Tum Say Bas Yahi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Tera Har Baar Meray Khat Ko Parhna Or Ro Dayna
    Mera Har Baar Likh Deyna Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Kia Tha Hum Ne Campas Ki Nadi Per Ak Haseen Wada
    Bhalay Hum Ko Parray Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Jahan Main Jab Talak Panchi Chahaktay Urtay Phirtay Hain
    Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Puranay Ahad Ko Jab Zinda Karnay Ka Khayal Aaye
    Mujhay Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Wo Tera Hijar Ki Shab Phone Rakhnay Se Pehlay
    Bohat Rotay Huye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Ager Hum Hasraton Ki Qaber Main Hi Dafan Ho Jayen
    Tu Yeh Kutbon Peh Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti

    Puranay Rabton Ko Phir Naye Waday Ki Khowahish Hai
    Zara Ak Baar Tu Kahna Mohabaat Mar Nahi Sakti

    Gaye Lamhaat Fursat K Kahan Se Dhoondh Kar Lao'un
    Wo Pehron Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    yaha sawal ka jawab diya jata hai wo bhi khud se likh ker ...

  4. #4
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default

    hy ALLAH ......... kahan kahan se swal le ati hain sis !!

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    jaise he thread lagane lagti hon sawal dimag main ajata hia...bus main phir likhna shuro hahahaha likh ker pata chalta k maine muskhil khari krde hia hehehe

  6. #6
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default

    Mohabbat Main Itne Sawal Kio Paida hojatey hain...Aur Agr un sawalon k jawab na miley tu dil murjha sa jata hai...Aisa kio hota hia...Mohabbat tu toat kar chahney ka naam hia tu phir Mohabbat Sawal kio karti hai...?"

    Muhabbat aik sarab hai jee.... sarab mai dilkashi hoti hai, khobsorti hoti hai, aur shak hota hai
    k ye sb such hai ya nhi....hmesha aisa rahy ga ya nhi...kahain haqeeqaton ki andhiyan khwabzada ankhon mai chuban na kr dain.. Aur ye k ap hassas ho jaty hain, possessive ho jaty hain apni pasand k bary mai... kho deny ka khof , dour hony ka dar, chahat ki talab, khwabon ka safar...... ye sb insan ko swalon mai dal dety hain ku k mehbob pe aitbar nhi ata .... shak rehta hai... Be panah chahny k bawjod hmari khwahishain hmain shak mai dal deti hain wja "Chahy jany ki khwahish aur Kbi is sarab se na nikalny ki khwahiish"
    Is liye swal jaan nhi chorty jb tak apko yaqeen na aa jaye....Is haqeeqat per k ye sarab hi tha!


  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default

    Mujhey tu mohabbat sawalon se bhara hua sandoq lagti hia...dil o dimag main sawalon k siwa or kuch bhi nahi ata...her choti si choti baat per sawal...!!!

    usne yaad kia hoga ?
    wo bhool tu nahi gaya ?
    wo kahe chor na jaye ?
    wo kahe badal na jaye ?

    Aise he bepanah sawal jeena aik tarah se dobar kiye rakhtey hian...!!! koi kisi se kitni he mohabbat kio na karta ho in sawalon ki jung dimag main hamesha chalti rehti hia...sawalon ka mohabbat se gehra taluk hia...haan agar na kiye jaye tu dosre ko lagta hai kabhi kabhi k fikar he nahi hia ...yanee k kisi bhi tarah se chain nahi ata...na he ravi chain likhta aise mohabbaton k maron ko tu her her azmaish se guzarna parta hai...bari bari jungain paar karni parti hain...!!!

    Algarz main tu yehe samjhti hon k Mohabbat main sawal app ka pecha kabhi bhi nahi chortey bhale kitna he bharosa kio na ho...!!!

  8. #8
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default

    apart from this competition discussion
    Chor dety hain swal jan .....
    jb qanayat kar lain....
    Her muhabbat ka aik waqt hota hai...mjaz se haeeqat tak......
    Phir sarab ojal ho jata hai ankhon se... or aag utarti hai
    Jalny ka maza hi alag hai ... phir sary swal aur sari khwahishain jalti hain....
    Dil mai bas Wo rehta hai.... jis ka koi shareek nhi koi sani nhi..

    Thank you...... khobsorat intekhab o jwab....

  9. #9
    Join Date
    Apr 2010
    Location
    k, s, a
    Posts
    14,630
    Mentioned
    215 Post(s)
    Tagged
    10287 Thread(s)
    Rep Power
    1503272

    Default

    sawal kiu ate hia muhabbat mia ????? Hoooon boht asaan aur short baat jab muhabbat thar jati hai us k humare pass hone ka yaqeeen ho jata hai tu dil ko wahame nahi ate na wo maza rahte hai bas youn samjh liye k muhabat b bahte methay pani ka chashma hai behta rahe tu maza deta hia aur kisi jagh tehar jaye tu badbo daar tafan zada ho jata hai Iiss liye muhabat mai weham ka hona sawal ka hona dil mai her lamhe aik methi si kasak ka hona zaroori hai ......... wo kahan hai kia kar raha aaj din k kisi pal kia usne mujhy yaad kia ho ga aur kabhi bas youn hi attention pane k liye koi be tuka sawal kar dina khamha gusa dekha dina yeh b muhabat ka aik husn hai
    Jabhi tu mia aksar kahti hoon muhabbat ki kiyn qismin hia aur mujhy muhabbat ki her qism se muhabbat hai aur kabhi bas youn lagta hai mujhy muhabbat se muhbbat hai
    Mai muhabbat pe likhne bethon tu pata nahi words kahan se ate kahi uper se khud hi uterte hai muhabbat karna muhabbat likhna mera pasndeda mashgala hai .......baat kahan se chali aur kahan le gayi mai
    Garaz muhaabat shaak k saye mia b palti hai sawalon ki bochar mai b ..... zamne ki rasam se b larti hai farsooda rasm o rawaz mai b pannapti hai dil mai b hai rooh mai b kahani jism mohabat ki morat hian aur kahi jismon se jaan nikalne walli b muhabbat hai

  10. #10
    Join Date
    Aug 2009
    Location
    Jodhpur . India
    Age
    83
    Posts
    6,218
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    23 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    cute

    Mohabbat ke sawaal ka Jawaaab in Nagme se maloom hojayega, aiisi umeed krete hai Peshe khidmat:
    Mohabbat ki raaho me chalanaa sambhal ke Yahaan jo bhi aayaa gayaa haath mal ke.Na paai kisi ne muhabbat ki manzil. Qadam dagamagaae zaraa dur chal ke.Hame dhundhati hai bahaaro ki duniyaa Kahaan aa gae ham chaman se nikal ke Kahi tut jaae na hasarat bharaa dil Na yun tir feko nishaanaa badal ke.Mohabbat ki raaho me Chalna sambhal ke.
    Last edited by R. M. Dixit; 25-01-2015 at 09:06 PM.

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •