-
Ek lafzen muhabbat adna ye fasana hai
Ek lafje mohabbat adna ye fasana hai
Simte to dile aashiq faile to zamana hai.
Hum ishq ke maaron ka itna he fasana hai
Rone ko nahin koii hansne ko zamaana hai.
Wo aur wafaa dushman maanenge na mana hai
Sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai
Ye ishq nahian aasan itna hi samjh leeje
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
Aansu to bahut se hain aankhon main 'Jiger'
Bindh jaaye jo moti hain rah jaaye so daana hai.
Last edited by R. M. Dixit; 08-01-2015 at 07:57 AM.
-
-
-
shukriya doton aapne tavajjo di i ghazal ko aur daad abhi. So Nice.
-
-
Shukriya Nice Daaad ka aaur
Tavajjo ka bhi. Urdu ki shayari main
Angrezi mai daad, kuch hazam na hua.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules