-
golon Main Rang Bhare baade lo bahar chale " Faiz Ahmad Faiz'
Gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale
chale bhi ao k gulshan k karobar chale.
qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho
kahin to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale.
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho agaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale.
bara hai dard ka rishta, ye dil garib sahi
tumhare nam pe ayenge gamgusar chale.
jo ham pe guzari so guzari magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aqabat sanwar chale.
huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ki talab
girah main le k gareban ka tar tar chale.
maqam ‘Faiz’ koi rah main jacha hi nahin
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale.
-
-
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules