-
Choota jo tera haath to hum toot ke roye
Choota jo tera haath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Thi dhoop bohat taiz har simt judayi ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa,
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules