Tumhari Qabr par main,
faateha padhne nahin aaya,
Mujhe maalum tha,tum mar nahin sakte,
tumhare maut ki sachhi khabar,
jisne udayi thi, wo jhutha tha,
wo tum kab the?
koi sukha hua patta,
hawa mein girke toota tha,
Meri aankhein,
tumhare manzaron mein qaid hai ab tak,
main jo bhi dekhta hoon, sochta hoon,
wo, wohi hai,
jo tumhari nek-naami aur badnami ki duniya thi,
Kahin kuchh bhi nahin badla,
tumhare haath, meri ungliyon mein saans lete hai,
main likhne ke liye jab bhi, qalam kaagaz uthata hoon,
tumhe baitha hua main,
apni hi kursi mein paata hoon,
Badan mein mere, jitna bhi lahoo hai,
wo tumhari,
lagzishon, naakamiyon ke saath behta hai,
meri aawaz mein chhup kar, tumhara zehen rehta hai,
Meri beemariyon mein tum,
meri laachariyon mein tum,
Tumhari qabr par jisne tumhara naam likha hai,
wo jhutha hai.
tumhari qabr mein, main dafan hoon,
Tum zinda ho!!!
Tum zinda ho!!!
Mile fursat kabhi, to faateha padhne chale aana...!!!