Results 1 to 2 of 2

Thread: Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi..

  1. #1
    Join Date
    Dec 2014
    Location
    soudi arab makkah
    Age
    37
    Posts
    599
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    92 Thread(s)
    Rep Power
    214760

    Default Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi..

    Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi,
    Tanha they magar khud se to wehshat na hui thi,
    Yeh din hai ke yaron ka bharosa bhi nahi hai,
    Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui thi,
    Ab saans ka ehsaas bhi ek baar-e-giraan hai,
    Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,
    Ujrre huye iss dil ke har ik zakhm se pucho,
    Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,
    Ab tere qareeb aa ke bhi kuch soch raha hoon,
    Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,
    Khawabon ke hawa raas thi jab tak mujhe Mohsin,
    Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..


  2. #2
    Join Date
    Dec 2009
    Location
    SAb Kya Dil Mein
    Posts
    12,694
    Mentioned
    1006 Post(s)
    Tagged
    2307 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default

    bu - Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi..





Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •