tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga
ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga
isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga
sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga
ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga
shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga
aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga
hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga
is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga