Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuuche se hum nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle
Khuda ke vaaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle
Kahaan maikhaane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata thaa ke ham nikle