winner hain...
Arosa Hya
Khushi
Khushiya'n bantna boht asan hai...
Jise hmary talakh aur jazbati rawayyoun ne mushkil bana diya hai.
Zindagi ki tmam asaishain musar ho b jayen to b kbi wo khushi nhi mil skti jo dil k skon mai milti hai.
Drasal Khushi se murad her aisa kam hai jo ap k dil ko skon de aur Roh ko khush kry.
Sb se sada treeqa apki "Muskurahat" hai jo buland hoslo'n or ala ikhlaq ki ilamat hai.
Murda dilon k liye zindagi ,aur thaky mandy k liye rahat hai.
Dosron se muskura ker milna, isteqbal krna, dil joi krna khushi ka bais hai.
Apni khwahishon pe dosron ki zrorat ko foqiyat dena b rooh ki khushi hai
Lekin us barh ker skon apni zrorat per dosron ki zrorat ko foqiyat dena hai.
Isi tra her naik ya acha kam kerny se khushi milti hai dil itmainan se bhar jata hai.
Islam ki tmam iqdar roh ko khushi deti hain sabar, bardasht, qurbani, darguzar etc
apne Roz k mamol mai ap dosron ki madad ker k sachi khushi hasil ker skty hain
Jese k,
Kisi zrorat mand ki zrorat pori ker k,
Kisi yateem bachy ki diljoye ker k,
Kisi bewa/ Ghareeb ki mali imdad ker k,
Apny khany mai kisi bhoky hamsaye ko yaad rakh k,
Kisi yateem bachy ko khana khila ker,
Kisi zayef ko sarak paar kerwa ker,
Apne doston or ehbab se mukhlisana rawayya ikhteyar ker k,
Dosron se jalny ya apni kisi shae per gharor kerny k bjaye ALLAH ka shukar ada ker k aur dosron ki hosla afzayi ker k,
Tahaif k tabadla se,
Rishtedaro se ALLAH ki raza k liye darguzar aur qurbani se,
Apni her she k liye ALLAH ka her haal mai shukar ada ker k
k Us ne jo dia khob dia, behtreen dia,
ALLAH aur us k bandon ka ehsan man ker jis se aajzi paida hoti hai,
Aur bachon se pyar se paish aa ker
unki candies share ker k khany se b boht khushi hoti hai
Aur behaviours mai polite reh ker ek dosry se hasi mazak kerny se
bjaye is k k ap apne gusse ya ana k khol mai lipty rahain aur dosry ap se baat krny se b darain
Khas tor pe siblings se shraratain ker k
soye hoay pe achanak pani phaink (summer mai winter mai bhol k b nhi krna warna anjam apka apna hoga)
Soty hoay k moun pe marker se monchain bna k Dosron se baton baton mai kam kerwa k
Choty siblings se apna kam kerwa k unko tense sikhany k badly
Qasam se boht khushi hoti hai
Apne parents ko hmesha muskura k milny aur ehtram krny se,
Unhain her mamly mai priority deny se
Doston ko kbi kbi problems mai dalny se
jese k
un k bag se paise nikal ker unko treat dena
bags mai books shuffle kerna
kitny khushi k kam ho gaye wow
Aur Aur Aur
Sb se barhi khushi, Rooh ka saroor or itmainan ye hai k
Ap insaniyat se sirf muhabbat hi muhabbat krain
Aur ye sirf ALLAH k liye krain!
Piyare ALLAH T a'ala apko dhairon khushiyoun se nazwazain aur dosron k liye khushi ka zariya bnayen. Ameen
Fe aman ALLAH