Imdad kun Ya Ghouse Azam Dastageer By Owais Raza Qadri
Imdad kun Ya Ghouse Azam Dastageer By Owais Raza Qadri
Azaranj wa gham azad kun,
Dar deeno dunya shaad kun
Ya Ghaus e Azam dastagheer
Imdad kun Imdad kun, imdad kun
Tere haath mein haath maine diya hai
Teray haath hai laaj Ya Ghaus e Azam
Nikala hai pehlay to doobay huoon ko
Aur ab doobtoon ko bacha Ghaus e Azam
Bhawar mein phansa hai safina hamara
Bacha Ghaus e Azam, Bacha Ghaus e Azam
Kasam hai ke mushkil ko mushkil na paya
Kaha hum nay jis waqt Ya Ghaus e Azam
Mureedoon ko khatra nahin bahr e ghum say
Kay beray ke hain na khuda Ghaus e Azam
Kahein kis say jakar Hassan apne dil ki
Sunne koun teray siwa Ghaus e Azam
Piro ke aap pir hai ya Ghaus al madad
Ahle saffa ke meer hai ya Ghaus al madad
Ranjo alam rangir hai ya Ghaus al madad
Hum aaj ko wasir hai ya ghaus al madad
Hum kaise jee rahe hai ke tum se kya kahe
Hum hai alaml neer hai ya Ghaus al madad
Teer nazar se peyr hai saare alam ke pir
Kya yeh alam ke deer hai ya Ghaus al madad
Kis dil se ho bayaan beydaade zaalimaa
Z aalim bare shareer hai ya Ghaus al madad
Ikhfa shararashar y a Ghaus al amar
Shar ke sharar khatir hai ya Ghaus al madad
Tere hi haat laaj hai ya Pir e dastagheer
Hum to tujh se dastagheer hai ya Ghaus al madad
Sadqah rasul paak ka joli me daal do
Hum Qadri fakir hai ya Ghaus al madad
Ahle saffa ne paayi tum se rahe safaa
Sab tum se mustaghir hai ya Ghaus al madad
Dil ki sunaaye akhdar dil ki zabaan mai
Kehte hai yai behtarir hai ya Ghaus al madad
.
Last edited by shaikh_samee; 04-02-2015 at 04:39 PM.