"Lafzon ki hamari zindagi main ahmiyat"
Lafz .... Lafz hmari zindagi mai boht ehmiyat k hamil hain. inhi ko larri mai pirony se mafhoom banty hain jo hum ek dosry ko smjny k liye , apny khayalat k izhar k liye istemal krty hain.
Yehi ada shuda lafz hmari pehchan banty hain jese k Hazrat Ali R.A ne farmaya :
"Baat kro taky tum pehchany jao"
Alfaz se mil ker mukhtalif zubani tashkeel hoti hain kisi ilaqy k logon k tarz o tamaddun k b akkas hoti hain. Aur zabano k aitbar se dunia ki sb se khobsorat zubanain arbi aur fransisi hain. Aur Urdu dunia ki wahid zuban hai jo "Jazbat k izhar" k liye be panah alfaz ka zakgira paish krti hain. Shairi k lehaz se khobsorat treen isteaary or tashbeeh urdu mai payi jati hai. Aur aik mazy ki baat ye k hmary pas dosri behtreen khasosiyat ki hamil zuban punjabi ki sorat mai hai...panjabi faseeh o baleegh zuban hai ... Dekha gaya English shayer jo apna pegham ponchany k liye itny lambi nazmain likhty rahy wo punjabi k shayir khasosan bully shah apny ek , do shair mai keh gaye jis k bad internatinal level pe punjabi wirsy ko preserve krny ka socha gya.
Lehaza alfaz ka qomo ki zindagi or saqafat se b gehra jurrao hai..
Isi tra lafzon ka mafhoom sunny waly ka raddy amal tashkeel dety hain.
Alfaz ka chanao or shiddat unko moassar bnata hai or hmary lehjy alfaz k sath mil ker bharpor izhar krty hain. Boht martba alfaz se zyada unhain ada krny ka andaz , lehja ada hony waly alfaz ko mukhtalif rang deta hai.
Alfaz k mafhoom pe "Rober Thouless" ne apny mazmoon "Emotional meanings" mai boht khobsorat wazahat ki hai. us k mutabik alfaz ki mukhtalif iqsam hoti hain kuch neutral (ghair janib dar) jin ka sada sa aik hi mafhoom hota hai.
Lekin kuch alfaz k dual meanings (Duhray mafhoom) hoty hain. Aur ye hmari dosron ki traf approach ko bakhbi pohnchaty hain.
Jese ek dhod waly ka cycle kuty k agy se bagny k bayis gir jaye or nuqsan ho to wo aam tor pe usy gali se nwazta hai amooman kutta keh kr. Ab hai to kutta hi lekin gwaly ne osy kutta apni khafgi k sabab kaha.
Robert Thouless ne masbat or manfi alfaz ki iqsam btayen. Mazeed ye k agar manfi alfaz k sath masbat ka b istemal kr liya jaye to us se apki tanqeed dosry ko buri nhi lagy gi or msg p pohanch jaye ge.
jese agar hum kisi se ye kahain k tum boht bury ho to shayad usy bura b lagy or islah b na ho
Is k bjaye agar hum ye kahain k "Ap achy nhi" to is mai masbat(ache) or manfi (nahen) ek dosry ki force ko cancel krty ek sada mafhoom muntaqil krty hain jo kisi ko bura b na lagy.
Ye alfaz ki taseer hi hai jo sunny waly mai kbi jazba paida krti hai , kbi khushi, kbi takleef or kbi gussa. lehaza alfaz ka istemal boht soch smj k krna nehayat zrori hai tbi ye kaha gya"
Zuban hi wo she hai jo insan ko jannat ya jahannum mai le k jaye gi.
Aur pyary Nabi S,A,W ne b ye isi liye farmaya k
"Musalman wo hai jiski zuban or hath se dosry musalman mehfoz rahain"
Kiyoun k hum apny alfaz ka jazbati istemal achy istemal se zyada kr jaty hain jese dosron ki burayi,chughli, gheebat, jhoot, dil azari, gustakhi, ba adbi, gussa ka shadeed izhar jis mai dosry k esasat ka khayal nhi rehta. ye sb hmary akhlaq k liye nehayat ehmiyat k hamil hain.