Is Maah App Ko Dagh Dehlvi Ki Poetry Share Karni Hai...
Rules:
Ek member ek hi baar share karay ga
Same aur edit sharing accept nahi hogi
Last date 28/4/2015 hai
Winner Admins decide karen gy.
====*Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam KisKa Tha*====
Tumhare Khaat Mein Naya Ek Salaam Kis Ka Tha
Na Tha Raqeeb Toh Aakhir Woh Naam Kis Ka Tha
Woh Qatl Kar Ke Har Kisi Se Puchte Hai
Yeh Kaam Kis ne Kiya hai Yeh Kaam Kis Ka Tha
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege
Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis ka Tha
Raha Na Dil Mein Woh Bedard aur Dard Raha
Muqeem Kon Hua Hai Maqam Kis ka Tha
Guzar Gaya woh Zamana Kahen Toh Kis Se Kahen
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kis Ka Tha
Har Ek Se Kehte Hain Kya ‘Daag’ Bewafa Nikala
Ye Puche In se Koi Woh Ghulam Kis Ka Tha
*****
Butane-Mahavash ujdi huii manzil main rahte hain
Ki jiski jaan jaati hai usii ke dil mai rahte hain.
Hazaaron hasraten weh hain ki roke se nahin rukti
Bahut armana aise hain ki dil ke dil main rahte hain.
Khuda rakhe muhabbat ne kiye aabad dono ghar
Main unke dil main rahta hoon wo mere dil mai rahte hain.
Zamiin per paanv nakhwat se nahin rakhte pari-packer
Ye goya is makaan kii doosri manzil main rahte hain.
Koii naamo-nishan pooche to E kaasid bata dena
Takhallus 'Daag' hai aur aashikon ke dil main rahte hain.
Gazab kiya, tere vade pe aitabar kiya
Tamam rat qayamat ka intezar kiya
Hansa hansa k shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de k beqarar kiya
Ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh ata
Magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
Fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
Kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
Ye kisne jalva hamare sar-e-mazar kiya
K dil se shor utha, hae! beqarar kiya
Tarap phir ai dil-e-nadan, k gair kahte hain
Aakhir kuch na bani, sabar ikhtiyar kiya
Bhula bhula k jataya hai unko raz-e-nihan
Chipa chipa k mohabbat ko ashkar kiya
Tumhen to vada-e-didar ham se karna tha
Ye kya kiya k jahan ko ummidavar kiya
Ye dil ko tab kahan hai k ho malandesh
Unhone vada kiya ham ne aitabar kiya
Na puch dil ki haqiqat magar ye kahte hain
Vo beqarar rahe jisne beqarar kiya
Daagh Dehlvi