ALLAH rab ul alamein ki be shumaar hamd o sana or us k piyarey nabi[s.w] par be shumaar hamd o sana k baad, merey piyarey bhaiyon or doston or meri mohtaram maaon or behno, in ahadees e mubarka ki roshni main sirif itna he kehna chahunga k ap apney baal or nakhun 1 zilhajj se ke kar qurbaani tak na katein, ALLAH apko QURBAANI ka sawab ata farmaeyga, or jitna ho sakey in dino main ap ziyada se ziyada neik amaal karein.
KAM AMAL, BOHAT
ZIYADA INAAM
nabi akram{s.w} ne farmaya" jo shakhs din main 100 bar
subhan ALLAHI wabi hamdihi
{pak hai ALLAH or sari ki sari tareef ALLAH k liye he hai}
parh le to us k sarey k sarey gunah maaf hojaeingey,
chahey us shakhs k gunah samander ki jhaag k barabar hoon
{bohat bohat zyada hoon phir b maaf hojaingey}
{bukhari shareef bab ul TOUHEED }
nabi kareem{s.w} ne farmaya "jo shakhs maghrib ki namaz k bad
ALLAH humma aJirni minan naar
{aye ALLAH mujhey janam ki aag se bachale}
7 baar parh le, mager kisi se baat karney se pehley parhey,
to us shakhs k liye satar hazar{70000} farishtey subah tak maghfirat,
us k gunahon ki maafi mangtey rehtey hain, or ager suba se pehley mar jaey
to uska shumar SHAHEEDON main hoga, or ager fajir k bad 7 bar parh le
to maghrib tak esa he hoga."
{ abu DAUD }
nabi kareem{s.w} ne farmaya"KHUDA ki qasam,
sura e ikhlas{qul hu ALLAHU ahad puri} 1/3 QURAAN hai."
{yani 3 bar parhney se 1 QURAAN ka sawab milta hai}
{SAHEH MUSLIN bab ul FAZAIL e QURAAN }
nabi akram{s.w} ne farmaya" jis shakhs ne QURAAN ki 1 ayat
samajh li usko 100 rakat nafal namaz parhney se zyada sawab milega."
{al HADEES }
nabi kareem{s.w} ne farmaya" jis shakhs ne apney waldein{maa baap} ki taraf piyar
bhari nigah se 1 baar dekha to ALLAH TA'LA us shakhs ko 1 HAJ k barabar
sawab ata farmaingey"
sahaba{r.a} ne arz kiya"aye ALLAH k rasool{s.w} ager koi shakhs din 100
baar dekhey to, kya usko 100 haj ka sawab milega?"nabi kareem{s.w} ne farmaya"ALLAH is se bhi zyada deney par qudrat rakhta hai
or khushi se dete hai."
{yani k haan}
{BUKHARI SHAREEF }
nabi akram{s.w} ne farmaya" jab insan mar jata hai to us k
sarey khatey{sawab k accounts} band kardiye jatey hain,
siwaey 3 khaton{sawab k accounts} k jo khuley rehtey hain{sirif in 3 se sawab milta rehta hai}
1}neik oulad, jo naik kam karey or apney waldein k liye dua karey.2} sadqa jariya, jo us ne apni zindagi main karwayawaya{ masjid waghera banwai}
3} wo ilm jo us ne kisi or ko sikhaya, or sikhney wala, sikhaney waley k marney k bad
us par amal karta raha.
{ MUSLIM SHAREEF }
{wazahat:- 3rd kam bohat asan hai, ap QURAAN o HADEES ki batein suntey
parhtey hain, ye baatein ager ap kisi or ko b bataein to woh shakhs jab tak
ap ki batai hui baaton par amal karta raheyga, apko b sawab milta rahega,
hatta k ap k marney k baad b.
zaroori masla:- is HADEES e mubaraka se 1 masla or clear ho jata hai k jab
insan mar jata hai to us ko sawab pohanchney k sarey rastey, sarey accounts
band ho jatey hain siwaey in 3 k.
means k QURAAN KHUANI, QUL{teeja}, CHEHLAM, BARSI etcka sawab murdey tak nahe pohanchta, or ye sab cheezein kaheen bQURAAN, HADEES se sabit nhe hain.
think. . . .
think again. . . . ALLAH hum ko hidayat de, or maaf farmaey
AMEEN