Results 1 to 2 of 2

Thread: From zilhaj to baqra eid

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,945
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    candel From zilhaj to baqra eid

    BAQRA EID
    hazrat abdul LAAH bin abbas [r.a] se riwayat hai k Nabi kareem[s.w] ne farmaya " dino main koi din ALLAH k nazdeek itney piyarey nahe hain jin main neik kaam kiye jaaein, jis qadar ALLAH ko zil-hajj k ye 10 din piyarey hain[chand nazar aney se eid k din tak, in dino ki ebadat neiki bohat ziyada pasandeeda hai ALLAH k nazdeek]" sahaba[r.a] ne arz kiya"aye ALLAH k rasool kiya, in 10 dino ki ebadat se ziyada pasandeeda ALLAH k nazdeek jihaad bhi nahe??"
    ap[s.w] ne farmaya"haan ALLAH ki rah main jihad bhi nahe, siwaey us mujahid k jo apni jaan o maal le kar jihaad karey or kuch bhi le kar wapas nahe louta[shaheed ho gaya]"
    [BUKHARI SHAREEF]
    nabi kareem[s.w] ne farmaya"jab ashra e zilhajja[chand nazar ajaey]or tum main se koi qurbaani ka irada karey to wo[qurbaani honey tak]anney baal or nakhun bilkul na katey." ek sahabi[r.a] ne arz kiya"aye ALLAH k rasool[s.w] k hum ko to isteta'at nahe hai qurbani ki" to ap[s.w] ne farmaya"tum bhi nakhun or baal nahe katwao, eid k din katwa lena, tumko bhi qurbaani ka sawab mil jaega."
    [ABU DAUD]
    ALLAH rab ul alamein ki be shumaar hamd o sana or us k piyarey nabi[s.w] par be shumaar hamd o sana k baad, merey piyarey bhaiyon or doston or meri mohtaram maaon or behno, in ahadees e mubarka ki roshni main sirif itna he kehna chahunga k ap apney baal or nakhun 1 zilhajj se ke kar qurbaani tak na katein, ALLAH apko QURBAANI ka sawab ata farmaeyga, or jitna ho sakey in dino main ap ziyada se ziyada neik amaal karein.
    KAM AMAL, BOHAT
    ZIYADA INAAM
    nabi akram{s.w} ne farmaya" jo shakhs din main 100 bar
    subhan ALLAHI wabi hamdihi
    {pak hai ALLAH or sari ki sari tareef ALLAH k liye he hai}
    parh le to us k sarey k sarey gunah maaf hojaeingey,
    chahey us shakhs k gunah samander ki jhaag k barabar hoon
    {bohat bohat zyada hoon phir b maaf hojaingey}
    {bukhari shareef bab ul TOUHEED }
    nabi kareem{s.w} ne farmaya "jo shakhs maghrib ki namaz k bad
    ALLAH humma aJirni minan naar
    {aye ALLAH mujhey janam ki aag se bachale}
    7 baar parh le, mager kisi se baat karney se pehley parhey,
    to us shakhs k liye satar hazar{70000} farishtey subah tak maghfirat,
    us k gunahon ki maafi mangtey rehtey hain, or ager suba se pehley mar jaey
    to uska shumar SHAHEEDON main hoga, or ager fajir k bad 7 bar parh le
    to maghrib tak esa he hoga."
    { abu DAUD }
    nabi kareem{s.w} ne farmaya"KHUDA ki qasam,
    sura e ikhlas{qul hu ALLAHU ahad puri} 1/3 QURAAN hai."
    {yani 3 bar parhney se 1 QURAAN ka sawab milta hai}
    {SAHEH MUSLIN bab ul FAZAIL e QURAAN }
    nabi akram{s.w} ne farmaya" jis shakhs ne QURAAN ki 1 ayat
    samajh li usko 100 rakat nafal namaz parhney se zyada sawab milega."
    {al HADEES }
    nabi kareem{s.w} ne farmaya" jis shakhs ne apney waldein{maa baap} ki taraf piyar
    bhari nigah se 1 baar dekha to ALLAH TA'LA us shakhs ko 1 HAJ k barabar
    sawab ata farmaingey"
    sahaba{r.a} ne arz kiya"aye ALLAH k rasool{s.w} ager koi shakhs din 100
    baar dekhey to, kya usko 100 haj ka sawab milega?"nabi kareem{s.w} ne farmaya"ALLAH is se bhi zyada deney par qudrat rakhta hai
    or khushi se dete hai."
    {yani k haan}
    {BUKHARI SHAREEF }
    nabi akram{s.w} ne farmaya" jab insan mar jata hai to us k
    sarey khatey{sawab k accounts} band kardiye jatey hain,
    siwaey 3 khaton{sawab k accounts} k jo khuley rehtey hain{sirif in 3 se sawab milta rehta hai}
    1}neik oulad, jo naik kam karey or apney waldein k liye dua karey.2} sadqa jariya, jo us ne apni zindagi main karwayawaya{ masjid waghera banwai}
    3} wo ilm jo us ne kisi or ko sikhaya, or sikhney wala, sikhaney waley k marney k bad
    us par amal karta raha.
    { MUSLIM SHAREEF }
    {wazahat:- 3rd kam bohat asan hai, ap QURAAN o HADEES ki batein suntey
    parhtey hain, ye baatein ager ap kisi or ko b bataein to woh shakhs jab tak
    ap ki batai hui baaton par amal karta raheyga, apko b sawab milta rahega,
    hatta k ap k marney k baad b.
    zaroori masla:- is HADEES e mubaraka se 1 masla or clear ho jata hai k jab
    insan mar jata hai to us ko sawab pohanchney k sarey rastey, sarey accounts
    band ho jatey hain siwaey in 3 k.
    means k QURAAN KHUANI, QUL{teeja}, CHEHLAM, BARSI etcka sawab murdey tak nahe pohanchta, or ye sab cheezein kaheen bQURAAN, HADEES se sabit nhe hain.
    think. . . .
    think again. . . . ALLAH hum ko hidayat de, or maaf farmaey
    AMEEN

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: From zilhaj to baqra eid


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •