-
Winner of Mohabbat Kadah Competition June 2015
Sawal Yeh tha ...
"Kia App Ko Aisa Nahi Lagta K Mohabbat Duniya Se Khatam Hoti Jarahe Hai...Her Taraf Jhot AFra Tafri Nafrat Phailti Jarahe Hai...Koi Shaz o Nazir He Ab Mohabbat Ka AMIN Nazar Ata Hai..."
Kia Sach Main Aisa Hogaya Hai Horaha Hai ?
WINNER HAIN
Arosa Hya
Inho ne jawab yeh diya
nafsa nafsi ka aalam ... insan insano ko kaat rahy hain, nazron k samny zibah kiye jayen, goliyoun se chalni kiye jayen, ghair insani sitam dhaye jayen kisi pe asar nhi hota ......... jazbat be jan hain hmain koi farq nhi parrta...!!!
Zara si cheez k liye hum janain le lety hain kisi ko koi farq nhi parrta...
Koi bali k liye kaan noch le, ya karry k liye hath kat de...
Koi siyasat mai mara jaye ya mazhabi firqon mai...
koi farq nhi parrta...!!!
Kisi ko insaf ki rah takty umer beet jaye ya naslain guzar jayen...
be gunah daar pe latkaye jayen ya zalim dundunaty phirain...
Koi farq nhi parrta !!!
Murdo'n ki barsiyan manayi jayen, matam kiye jayen or zinda se zinda rehny ka haq cheena jaye
bhook se bilak bilak k masoom nanni rohain jan se jayen
ya bint e aadam ko taar taar kiya jaye......
koi farq nhi parrta....!!!
Jis pe bety wo jany...
ye hmara masla nhi.....
Hum to sirf wo hain jo muhabbat ko sirf mukhalif jins mai gum hony ka naam dety hain
Hum to wo hain jinhon ne muhabbat jese pakeeza jazby k taqaddus ko pamal kia
Muhabbat k osaf qurbani , khaloos dard mandi, aajzi, bardasht, tahmmaul ko mehaz be baki, be hayai , na farmani or fahashi se badal dala...
han nhi hai muhabbat ......
jahan insano ko farq na parrta ho... masly dosron k hon apka kia tauluk jb tak aisi qayamat hum pe na guzar jaye!!
jahan hamsaye ki khabar hi na ho k kis halat mai soya.....kitny din se bhooka raha, kese mar gaya...
jahan log khandano ki izzat k liye qurbani k bjaye apno ki muhabbat rondty hoay apny naye ghar abad krain
jahan ek khandan k afrad ek dosry ko bardasht krny k muthamil na hon
jahan apny deen se muhabbat krny waly khud isy apnany se guraizan hon
khud iska tmasha bnayen tamaskhur krain
Nabi se Muhabbat ka dawa krny waly ek waqt k liye to boht wawela krain or bad mai jazbat thandy parr jayen
to aise logon k seenon mai dil nhi
pathar hoa karty hain
Inhi k mutalik kaha na
"Summa qasat qulobihi"
(Pas un k dil pathar jesy ho gaye)
"Aou ashadda"
(Ya is se b zyada sakht)
ehsas muhabbat ka tauluk to dil ki narmi se hota hai
jahan dil nhi pathar paye jayen
jahan narmi nhi madiyat ka jahannum paya jaye
jahan ehsas nhi khudgharzi ho
wahan muhabbat nhi hoti ....
han muhabbat khatam ho gayi hai.......
insaniyat k janazy cheekh cheekh kar keh rahy hain
han muhabbat uth gayi hai
Han sach mai aisa ho gaya hai...
MUBARAK ho app ko
shayd main is he jawab ki tawaqa karti thi ....
-
-
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules