-
15 Ramzan
Asalam.o.Alaikum
Mujhe 15 Ramdan k bare main baat karni hai k yeh sub kiya hai ? aj se phele bhi ramzan aye hia leken aise koi baat sunne ko nahi mili k aise hota hai...is bar 15 Ramdan Friday ka aaya tu yeh baat phail gaye ke Qayamat arahe hai 15 Ramzan ko ...sms or her jaga yehe baat ...aj se phele kia kabhi 15 ramzan friday ko nahi aye ? aye hongai yaad nahi hoga k kab aye leken in sub main kia haqiqat hai agar kisi ko is bare mian pata hai tu plz bataye ke yeh kia majra hai...yeh mjhe Facebook se mila tha jo main share kar rahe hon...
-
iska koi hawala nahi dya huwa or mujhe tu kahin b nahi dikha yeh u ko kahan se mila hai?
fb pe aksar chezein bekar hi hoti hain un pe believe hargiz nahi karna chahe... islam ka bhot mawad milega wahan pe jo jhoot hi hai sub ne apna nikala hwa sub molvi bane hoye hain.. just ignore it.
-
mujhey b ek recording bheji kisi ne whtsup per k ayesa honga wayesa honga 15 rmzaan ko ..
aur main ne tbahi ammi se kah diya k ye sab afwaein hai .. aap ALLAH per emaan rakhti hona tu ALLAH ki emrzi k bina pata b nahi hilta ..
ALLAH Tallah ny Quraan shree fki Ayat main qayamt ka ziker kiya hai lekin kab aur koun si saaat main faqat wohi janta hai ..
Elm ALLAH k paas hai .. aur Ramaaz mubarak mhina hai ALLAH ka rahem o karam es maah nazil hota hai aur wo esi maah ko magfirat ka mahina kaha jata hai .. tu ye log jo b hai ayesa kerke shirk aur gunaah ker rhaey hai yaha tu sola rozey hun chuke aur sab ALLAH k faza se acha hi hai ..
ye kuch paisey khao molvi hotey hai jo kuch b kehtye hai ALLAH unhein hidayat ata karey ...
-
whatsapp per mesg aya tha ,,jabhi tu maine socha k malom kia jaye kis ko kia kia kuch pata hai leekn yeh tu Facebook per aik page hai us per koi qadri molvi hai usne tu pura biyan dya hua ...is bare main
-
Walaikm Salam
Naz Aap ne jo Hadis share ki hai wo sahi hai. Fatawa Rizwiya mein is ka khulasa Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Rehmatullah Alaih ne kiya hai. 15 Ramzan ko jo waqiya hona hai wo Qayamat ki nishaniyon mein se ek nishani hai. Hadees mein is ka kaoi saal nahi batay gaya sirf date batayi gayi hai jaisa ke Qayamat aane ka din Muharram ki 10 tarikh Ashura Juma ka din batay gaya magar saal nahi bataya gaya hai. Magar ye Hadees sahi hai ke qayamat Ashura ki 10 tarikh juma ke din aayegi. Aur ye kisi molvi ne apne taraf se nahi kahi hai.
Muze ek article se kuch information mili jo aap se share karta hun.
Hazrat Afzalur Rehman urf bhole miya sahab (rehmatullah alaih) jo ki Hazrat Sarkar Fazle Rehma (rehmatullah alaih) kay gaddi nasheen thay unsay puchi gaye tab apnay ek aur nishani batye ki ye jab hoga jab shaban ki do tariq ko chand grahan padeyga, ab dusray nuktay par atay hai ramazan ki 15 tarikh ka zikr kiya gaya hai to duniya main 15 ramzan har jagah alag alag date ko padyga to phir ye kis tarah mumkin hai ki kuch logo ko alag din chingad sunaye deygy kuch logo ko alag din jab is nuktay par gaur kiya gaya to phir peer zada pappu miya ganj muradabad sharif say ek bohat pyari hadees mili. Wo hades sharif nichay hai.
Hadees:
Hazrat Abu huraira (radiALLAHUanhu) farmatay hai ki huzur paak sal lal laho tala alaihi wasalam ne farmaya Islam garibo me shuru hua our akhiri zamane me garibo ke hi andr laut jyega jis tarah shuru hua tha es liye garibo ke liye khush khabri hai.
Ibne umar (radiALLAHUanhu) farmatay hai ki huzor pak (sal lal laho tala alaihi wasalam) ne farmaya Islam ki shuruwat garibo me hui thi our wo garibo me hi laut jayega jis tarah shuru hua tha....
our Islam 2 mazjido ,masjide nabvi our masjids haram ki taraf is tarah simat jyega jis tarah saap simat kar apne surakh me chala jata hai. (shahi Muslim, hadees no 58 kitabul imaan.)
Ab is hadees par gaur kiya jaye to ye wakya us waqt mumkin hai jab muslam ki tadad itni kam hojaygy ki sari dunya main kahi muslaman bachangaye hi nahi. Sab madina sharif aur makkah sharif tak mehdood rehjaygay...ab us waqt jab 15 ramzan hogy to chand ek sath sirf madina aur makkah kay muslamo kay liye hoga kyu ki dunya main koi muslman bachyga nahi....tab ye chinghad sunate hi sab musalman sajday main chale jaygay baki log halak ho jaygey.
muze umeed hai ap logo ko meri baat samaz aye hogi. Maine jo likha is mein koi galti ho to Allah Taal'a apne Pyare Nabi Sallalahu Alaihi Wasallam ke tufail mein muze maaf kare. aur hum sab ko sahi samaz ataa kare- Aameen.
is par ek video bhi share kiya hoon is ko dekh le.
-
yeh baat tu maine b suni hia k musalman itne reh jaye gai k makah madina tak mehdod hojaye gai...waise main bhot confuse horhe hon...leken hamara ilm itna nahi jo hamain jo batade wo he sahi lagne lagta leken insani aqal jo hai wo kuch or he kehti hai...leken mjhe is baat ki confusion hia k aj se phele b aya hoga 15ramzan kabhi friday ko tu jab kisi ne kuch kio naih bataya is saal se jab aya tu zaida kio baatya gaya...sahi hai hamain Astagfar karna chahye k kia pata kaun sa waqt ho..leken yaha tu aisa lag raha tha k jaise inko yaqen ho k is saal yeh sb hone wala hai k qayamat ane wali hai,,,
-
Confusion ka sawal hi nahi hai. is hadees mein din bataya gaya hai year nahi aur ye aane ke pehle ki alamat bhi batayee gayee jaise ke Us Saal Zalzale Kasrat Se Honge Aur Ole Kasrat Se Padenge.
is ke pehle bhi 15 Ramzan friday ko bahot martaba aa chuka hai. but mere apna khyal hai ke us waqt Facebook, whatsapp, twitter jaise social sites nahi the aur na hi itne tv channel the jis se ye information logon mein aam nahi hui.
aur mera khayal hai ke 15 Ramzan ka waqia is ramzan yani 1436 mein hi hoga, ye confidence se kisi sunni aalim ya mufti, molvi kisi ne nahi kaha. sirf hadees batayee gayee hogi jaisa is clip mein bataya gaya aur aam logon ne is ko social media mein apne tarike se fayla diya.
Hope u satisfied with answer.
Last edited by shaikh_samee; 04-07-2015 at 04:30 PM.
-
hemmm No comments Jub Bari Zaat Kul Kainiyt Chahiy gi ho jaye gi Wo Malak BarHaq hai hum kon hote fatwa dene ya lene walle
-
Qayamat ko soch soch ker dahal rahe leken apne amal ache karne ka intizar nahi...ALlah hum sub ko deen ko sahi tarah samjhne ki tofeq de Ameen
-
wa alaikum assalam
mr sami has given explanation in a very good manner..... aur 15 ramadan ko juma sirf ek martaba to nhi ana ye to ALLAH ko behtar maloom hai
ye msg mjy b mila tha aur sath refrence b hadith ka tha as naz api ne image b share krdi book ki....... mjy sahi feham nhi tha is liye is pe koi comment ya raye nhi di balky khamoshi ikhtiyar ki... but sami bhai ne boht acha explain kr dia hai ab koi confusion nhi rehna chahiye
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules