musalsal sooch main rehna
kisi say kuch nahi kahna
kisi gooshay main chup kay
khud say mehw-e-guftgu rehna
achanak dil main koe metha metha dard uthna
bay sabab bay cheen ho jana
akeelay beth kay roona
kaee raatain nahi soona
wo pehroo bethay bethay
janay kis manzer main kho jana
kisi aahat kisi bhi chaap say
phir choonk si perna
meray saaey ay bachana
samnay aanay say katrana
suno pagal si ae larki
kahi or ankahi kay dermiyan
sooli pay latki ho
tumhain maloom hay tum jaan kar
manzil say bhatki ho?
yea mana tum bohat khuddar ho
per yea haqeeqat hay
ana ik had tak achi hay
magar is had kay aaagay
yea mehaz ik khud fraebi hay
azeeyat sah rahi ho or chup ho
kia qiyamat hay
tum akhir koun nahi kahtin
tumhain mujh say muhabbat hay.