Results 1 to 7 of 7

Thread: Mohabbad Kadah Competition August 2015

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Mohabbad Kadah Competition August 2015


    Sawal Yeh Hai...

    "Farz Karain,K App Ko Kisi Se Mohabbat Hai,,wo App Ko Kisi Waja Se Nai Mil Saka,,Kia App Sari Zindagi Udaas Guzar Dey Gy K Wo Nai Mil Saka,,Ya Phir Wo Khush Hoga Tu App Bhi Khush Rahey Gai K Uski Khushi Main App Bhi Khush Hai"

    Rules:
    Ek member ek hi baar share karay ga
    Same aur edit sharing accept nahi hogi
    Last date
    28/8/2015 hai
    Winner Admins decide karen gy.


  2. #2
    Join Date
    Jun 2011
    Location
    China
    Posts
    4,834
    Mentioned
    29 Post(s)
    Tagged
    9237 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default

    kahtay hain mahboob ki khushi mai hee muhabbat karnay walay ki khushi hoti hay aur jo hota hay achay k lyay hee hota hay ..
    mehboob mil jaey tu wo phir mehboob kismat say hee kahlata hay laiken agar na milay tu dil hay k bus har lamha usi kaa sath mangta hay aur dil mai humaisha aik kasak si rah jati hay k agar wo mil jata tu shaid zindagi mukammal hu jati..
    Zindagi tu apnay he qadmun pe chalti hay Faraz
    Auron k Sahary tu Janazy utha kartay hain

  3. #3
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    Jatoi
    Posts
    59,925
    Mentioned
    201 Post(s)
    Tagged
    9827 Thread(s)
    Rep Power
    21474910

    Default

    میرا خیال ہے کہ Ù…Ø+بت جیسے لافانی جزبہ Ú©Ùˆ کسی بھی طور مقیدیا Ù…Ø+دود کیا جا سکتا ہے۔
    مھبت تو انسان کو وجدان میں ہر وقت موجود رہتی ہے۔انسان لاشعوری طور پر اسے ڈھوندتا
    رہتا ہے۔کسی Ú©Ùˆ پا لینا ہی Ù…Ø+بت نہیں ہے اور نہ ہی کسی Ú©ÛŒ یاد میں آہیں بھر بھر کر زندگی
    گزارنا Ù…Ø+بت ہے۔مØ+بت میں Ù…Ø+بوب کا ملنا یا نہ ملنا کوئی معنی نہیں رکھتا۔عشق Ø+قیقی ہو یا مجازی
    Ù…Ø+بوب Ú©ÛŒ رضا ہی عاشق Ú©ÛŒ رضآ ہے،مØ+بوب Ú©ÛŒ خوشی ہی عاشق Ú©ÛŒ خوشی ہے۔مØ+بت میں جہاں دیکھا بس وہیں
    دیکھا،جسے چاہا بس اسی کو چاہا،جسے سوچا بس اسی کو سوچا۔سمتیں تبدیل ہو جانے یا راہیں بدل
    جانے سے Ù…Ø+بت Ú©Ù… نہیں ہو سکتی۔ Ù…Ø+بت برداشت اور تسلیم Ùˆ رضا کا نام ہے۔مØ+بت میں ہاتھ پھیلا کر
    صلہ نہیں مانگا جاتا۔یہ وہ لافانی جزبہ ہے جو خاموشی سے دل مین اترتا ہے،اپنی جگھ بناتا ہی،پھر سب کچھ پا جاتا ہے
    یا سب کچھ کھو دیتا ہے،مگر دونوں ہی صورتوں میں کامیاب و کامران ٹھہرتا ہے۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔



    Ù…Ø+بت ایک شجر ہے
    اور شجر کو اس سے کیا مطلب کہ
    اس کی چھاؤں میں کوئی تھکا
    ہارا مسافر آکے بیٹھا ہے اب
    اس کا رنگ کیا ہے؟
    نسل کیسی ہے؟
    کہاں سے آیا ہے؟
    اسے کس سمت جانا ہے؟
    شجر کا کام تو بس
    چھاؤں دینا اور
    دھوپ سہنا ہے۔۔
    Last edited by sarfraz_qamar; 20-08-2015 at 12:30 AM.





    تیری انگلیاں میرے جسم میںیونہی لمس بن کے گڑی رہیں
    کف کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے نہ اتارنا

  4. #4
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default

    "Farz Karain,K App Ko Kisi Se Mohabbat Hai,,wo App Ko Kisi Waja Se Nai Mil Saka,,Kia App Sari Zindagi Udaas Guzar Dey Gy K Wo Nai Mil Saka,,Ya Phir Wo Khush Hoga Tu App Bhi Khush Rahey Gai K Uski Khushi Main App Bhi Khush Hai"

    Guzar to jaye i tere bahair b lekin
    Barhi Udas Barhi sogwar guzry gi...

    ALLAH bachaye ap k swalon se ... naz api itni masomiyat se itny okhy swal krti hain

    jawab Hazir hai...

    Muhabbat ka tauluk Rooh se hai lehaza milna na milna Hasil nhi..
    Jis se roh ka tauluk ho wo har jaga hr she mai nazr ata hai chahy pas ho ya na ho...Dosra aksar log hasool ki khwahish mai is liye mubtala rehty hain ku k wo ishq ki is pukhtai per nhi pohanchty k unki rooh mazboti se munsalik ho is liye wo apny mehbob ko apny samny apny pas rakhny ki khwahish krty hain to wo udas b hoty hain aur sari zindagi isi hasrat mai pary rehty hain
    Lekin jinka tauluk mazbot ho wo sirf khushi chahty hain
    unka mehbob jese khush ho pas reh ker ya dor ho kr wo khush rehty hain
    unhain udasi ko sabar o shukar ka jama pehnana ata hai
    wo bas apny mehbob ki khushi aziz rakhty hain k wo kese khush hai apni khushi se be nayaz
    Bs usi ko khush dekh k khushi se nehal ho jaty hain
    inki muhabbat barhi purskon, khush ikhlaq hoti hai ku k ye andar se mar jaty hain
    aur jb insan andar se mar jaye to wo boht khush ikhlaq ho jata hai
    uski muhabbat aik se tmam insano tk barhny lagti hai...jese toty hoay kashkol se pani kayi simton mai behta hai...inka dil b toot kar sb mai muhabbatain taqseem krny lagta hai...

    Wo hamain bhula kar khush hai to shikayat kesi??
    Ab uski khushi mai na hon khush to Muhabbat kesi
    Last edited by Arosa Hya; 25-08-2015 at 11:43 AM. Reason: mistyping

  5. #5
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default



    Main zaati tor per qismat wegera per bht hi yaqeen karti hoon mujhy hamesha yehi lagta hai k jo hota hai achay kay liye hota hai Allah kay har kaam mai muslehat hoti hai
    To agar mohabbat hoi aur bichar gayi to yaqeenan is mai Allah ki raza hi hogi zindagi mai hamen sab kuch nahi mila karta.rahi baat udasi ki to udasi ek fitri cheez hai kisi ko hum chahyen aur phir woh hamen na milay to udasi to hogi aur shikwa bhi hogi lekin kab tak zindagi to chalti gari ka naam hai ksi baat kay peechay rok nahi saktay.Phir bhi mai us ki khushi mai khush hon gi kion kay yeh mera kamil yaqeen hai Allah hamaray liye kabhi ghalat faisla nahi karta aur agar hamen mohbbat nahi mili to yaqeenan aur koi behtareen cheez hamara muqadar hoti hai.

  6. #6
    Join Date
    Apr 2012
    Location
    Karachi/Lahore Pakistan
    Posts
    12,439
    Mentioned
    34 Post(s)
    Tagged
    9180 Thread(s)
    Rep Power
    249133

    Default


    Mohabat kuch aise hai ke Na ye Marzi se hoti hai aur Na Marzi se Khatam hoti hai.Lakh duayeein karlo ish se jan nahi chohtee .Mohabat mai milna aur na milna ap ke naseeb kismet par depend karta hai.Allah Tala hmhare liye hamesha buht acha sochte hain aur humhe kiya pata ke humhare liye kiya tekh hai..Mgr hum life mai bewakofiyan karte hain istikhara kar ke mohabat nahi karte mgr kiya karein mohabat itna moka he nahi dete ke istikhara kiya jaye.Kisi lamhe hojate hai aur phir kabr tak ap ke sath rehti hai aur shayad ush ke bad bhi.Agr ap ko apna mehbob na bhi mile tu life guzarti jate hai udhasi khushi gamh ye sab sath sath chaltee hain.Mgr mohabat ka sab se bara husn ye hai ke Mehboob har lamha ap ke sath hota hai aur ish ke liye ush ke razamandi ke bhi zarorat nahi ap zindagi ko ush ke ankh se dekhte hain ap dunya ke har cheez mai ush ko pate hain ap har lamha ush ko mehsosh karte hain wo jismani tor par tu ap ke sath nahi hota mgr rohani toor par koi lamha aisa nahi hota jab wo ap ke sath na hoo.Humhe life ke haqeqat ko samjhna chaye aur agr kismet mai milna nahi likha tu ush shaksh ko khush dekh kar khudh bhi khush rehna chaye..Allah ne dunya mai ap ke liye bhi buht kuch rakha hota hai aur ap yakenan ush se mahrom reh ker Allah ke nashukri karahee hain.Mere khyal se ush aik shaksh ka na milna he ap ke liye bahtar tha ish liye zindagi ko barphoor tareke se guzarna chaye khush rehna chayee aur gamh kis bat ka kiyon ke agr mohabat sache hai tu mehbob tu hamesha har lamha ap ke sath hai ish liye life ko barphor tareke se har lamha khushi khushi guzareein...

  7. #7
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •