"Farz Karain,K App Ko Kisi Se Mohabbat Hai,,wo App Ko Kisi Waja Se Nai Mil Saka,,Kia App Sari Zindagi Udaas Guzar Dey Gy K Wo Nai Mil Saka,,Ya Phir Wo Khush Hoga Tu App Bhi Khush Rahey Gai K Uski Khushi Main App Bhi Khush Hai"
Guzar to jaye i tere bahair b lekin
Barhi Udas Barhi sogwar guzry gi...
ALLAH bachaye ap k swalon se ... naz api itni masomiyat se itny okhy swal krti hain
jawab Hazir hai...
Muhabbat ka tauluk Rooh se hai lehaza milna na milna Hasil nhi..
Jis se roh ka tauluk ho wo har jaga hr she mai nazr ata hai chahy pas ho ya na ho...Dosra aksar log hasool ki khwahish mai is liye mubtala rehty hain ku k wo ishq ki is pukhtai per nhi pohanchty k unki rooh mazboti se munsalik ho is liye wo apny mehbob ko apny samny apny pas rakhny ki khwahish krty hain to wo udas b hoty hain aur sari zindagi isi hasrat mai pary rehty hain
Lekin jinka tauluk mazbot ho wo sirf khushi chahty hain
unka mehbob jese khush ho pas reh ker ya dor ho kr wo khush rehty hain
unhain udasi ko sabar o shukar ka jama pehnana ata hai
wo bas apny mehbob ki khushi aziz rakhty hain k wo kese khush hai apni khushi se be nayaz
Bs usi ko khush dekh k khushi se nehal ho jaty hain
inki muhabbat barhi purskon, khush ikhlaq hoti hai ku k ye andar se mar jaty hain
aur jb insan andar se mar jaye to wo boht khush ikhlaq ho jata hai
uski muhabbat aik se tmam insano tk barhny lagti hai...jese toty hoay kashkol se pani kayi simton mai behta hai...inka dil b toot kar sb mai muhabbatain taqseem krny lagta hai...
Wo hamain bhula kar khush hai to shikayat kesi??
Ab uski khushi mai na hon khush to Muhabbat kesi