بہت اچھی شیئرنگ کی ہے آپ نے
ہمارے میڈیا نے اس لفظ اور حلال چیزوں میں خدا کی نا پسندیدہ ترین چیز کو خوب پروموٹ کیا اوپر سے دیکھنے والے بھی الامان...
یہ جاننے کی کوشش ہی نہیں کرتے کے اسکے مسائل و احکام کیا ہیں. میرے خیال سے اسکے مسائل کمپلسری سبجیکٹس میں انٹر لیول پہ ہی شامل نصاب کر دینے چاہئیں
طلاق کوئی تماشہ نہیں جیسے میڈیا نے ہر دوسرے ڈرامے میں دکھا دیا اول تو یہ کہ جزباتی پن میں آپ اپنا منہ بند رکھیں اور دوسرا یہ کہ طلاق دینا بھی ہو تو ایک ساتھ تین اکٹھی نہیں دیں آپ ص ایک صحابہ (غالبا حضرت زید نے جب حضرت زینب بنت جحش کو طلاق دی ) کے اس عمل پہ سخت ناراض ہوئے...
اور یہ اسلام کا طریقہ نہیں ہے اسلام میں پہلی طلاق کے ایک ماہ بعد دوسری اور اسکے ایک ماہ بعد تیسری طلاق دی جاتی ہے اور اس دوران فریقین رجوع کرکے بعد کے جزباتیت کے پچھتاوے اور نقصان سے بچ سکتے ہیں
اور ہمارے معاشرے میں برداشت کا جو حال ہے اس طریقہ کو اپنانے اور عام بنانے کی شدید ضرورت ہے اور یہ کوٹ کچہری کا دخل جس قدر عام بنادیا گیا اسکی بھی حوصلہ شکنی ہونا ضروری ہے
,,,وہی تو سب سے زیادہ ہے نُکتہ چِیں میرا
..!!!جو مُسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے
بہت اچھی شیئرنگ کی ہے آپ نے
Assalaam-O-alaikum
Jee bilkul sahii farmaya, acha likha hay aap nay. iss per mazeed tasfeel say bhi likha jaa sakta tha.... Talaaq kay sharayii masayil jaanna bohat zaroori hain, balkay mujhay tou aisa lagta hay kay hum sab kii DEEN KAY MAAMLAY main aik REVISION class honii chayeh kiyonki bohat see deen ki aisi cheesain hain jo hum SAWAAB samajh kar kartay hain aur aakhirat main usski koi ahmiyat nahin aur Na-aouzubbillah kahin woh sawab humaray liye 'SAZA' na bann jaayay...
Khair jahan tak TALAQ ka maamla hay, yeh sahii hay kay chahay aap aaik waqt main TEEN baar kahain ya EK baar, woh EK hi talaq maani jaayay gii, ussay aap OFFICIAL FIRST WARNING samajh lain, phir dono main agar haalaat behtar houway tou thiik hay, magar na hoyee tou DOSRI talak considered as the second WARNING aur phir finally THIRD warning...... aur job terminated Haan inn talaqoon kay darmayan ek mahinay ka waqfa hoo yaa ek saal ka ya 10 saal ka, woh halaat per depend karay ga...
isi liye @sheem ki baat yahan kahon ga, kay insaan 2 saal main bolna seekhta hay magar sahii lafz kahan bolna hay yeh jaannnay kay liye poori umar guzar jaati hay, humain iss baat ka dihaan rakhna zaroori hay kay hum achay aur sahii alfaaz istimaal karain kiyon RECORDING tou chall rahii hay...
Ek shaks nay ek imam say kaha kay main nay apni biwi ko Ghussay main talaq day dii hay, aur mujhay iss ka pachtaaawa hay, kiyonki kay yeh talaq ghussay main dee hay tou kia yeh maani jaayay gii... imam sahab nay kaha, janab ab koi apni biwi ko pyar mohabbat main tou nahin kahay ga na kay sunoo janoo, aaj main tumhain talaq daita hoon just to add humor please dont mind, aadat say majboor hoon
Allah Pak Ka sub se napasendeda amal talak he hia ...aur media main tu aise dikhaya jata k jaise sawab ka kaam hia ...her dosre drame main yehe horha hota or uske bad jo halala kia jata hia yeh sub bhi aik behai k zumrey main ata hai...drame ki rating k liye aisa sub kia jata hai...werna halala kisi plan se nahi kia jata...yaha tu talak aik mamoli baat bun gaye hai...ghusa aya tu de dey...maine kiisi se suna tha k agar aurat ko yeh haq dya jata tu wo shyd itni jazbati hai k her waqt talak deti admi ko...leken baz dafa admi b itne zaida jazbati hojaty hian k inki samjh bojh khatam hojati hai or wo is amal k murtakab hojatey hain...!!!
Baherhal Allah Pak hum sub ko hidayat de or wo hidayat b in he logo ko deta hai jin ko chahta hia hidayat miley...!!!!
Sahii famraya aap naay... yeh Dramay hii hain, inn dramoon ko haqeeqati zindagi main lagoo nahin karna chayeh.... waisay bhi ab koi topic raha hii nahin aur logon kay viewing standard bhii itna baRh chuka hay kay koi ghareebi aur pastii bharii zindagi dekhna aur dekhaana hii nahin chahtta haalakay Pakistan ki ziyada tarr abaadi iisi pasti aur ghareebi ka shikaar hay... kahin saas ka masla hay, kahin bahoo ka, kahin rishtay daroon ka... aur dramay main tou aisa dikhatay hain jaisay tamam masayill ka hal TALAQ hay aur dosri shaadi aur extra marital affair aik jaiyz cheeze hay.... Khuda ki panah!!!
Anyways, jahan tak meri soch ka taaluq hay kay agar aurat ko TALAQ ka haq dia jaata tou shayed woh mardoon say ziayda sanjeeda faisla latii kiyonki kuch bhi hoo auraat kay dil main mardoon say ziyada jazbaat janam laitay hain aur unn jazbaat ko qaboo main rakhnay ki salahiyat bhii ziyada hoti hay, woh emotional ho kar kabhi na-zeeba alfaaz nahin istimaal kartii aur na hiii haath uhtaatii (yeh bartan phekna, mard per haath uthana srif joke ki hadd tak hii mehdood hain) wagarna jitna interest aik aurat ko 'GHAR CHALAANAY' ka hota hay utna 'Ghar TouRnay' ka nahin... balkay yeh humari tarbiyat ka hissa hota hay kay hum apni behan beti ko yehi taleem daitay hain kay kuch bhi ho jaayay kabhi bhi ghar touRnay main pehal nahin karna .....!!
ji mere bhai media nahi maney ga leken logon k dimag ko kharab krne ka sub se bara zimedar media he hai...!!! kitabon se dori bhi ..ab jab k her chez internet per majodd hia tu log kitabon se bhot dor hogaye hia....shaz or nazir he hain jo parhty hongai...kuch books mangwaye thi kuch ursa phele unki qeemat 110/90 se zaida nahi thi 5/6 books thi or sub shyd 600 main agaye thi...behad afsos hua tha mujhe ...k yeh qadar hai...!!!
tarbiyat tu waqie ghar se he hoti hia...leken jaha maa baap achi tarbiyat karty hain waha ajk bache unko zalil khowr karne main kasar naih chortey...her maa baap tu ulad ka acha he chahey gi...leken unko b baz dafa nahi pata hota k ulaad kitni agey nikal chuki hai...!!!
well ! mai ye masla nhi janti thi ilm k mutabik likha just.... as subject is under study
media mai jo dikhaya jata hai 3 bar divorce ek sath ...... lekin ye divorce ka treeqa nhi
recently ek play chal raha hai "Dua" k nam se kisi channel pe us mai wo shakhs apni bivi ko 3 bar divorce ek sath krta hai agar ye masla aise hai k ek hi bar count hoi to osi play mai fatwy mai isy complete divorce qarar de kr halala ki targheeb ku di gayi?
Ab halala khud aik nya masla hai kisi se talaq ki niyyat pe nikkah khud ek nya masla hai k hoga ya nhi....baz ne nikkah ka sahi hona likha aur baz ulma ne likha k nikkah nhi hota...
Beharhal.....thanks to read and comment
,,,وہی تو سب سے زیادہ ہے نُکتہ چِیں میرا
..!!!جو مُسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے
Yeh DRAMAY asal main 'DARAAMAY' hii hotay hain isi liye inhain 'dramay' ka hi naam dia jaata hay confuse naa.... well inn darmay ko entertainment ki hadd tak hii rakhii inn ka amli zindagi say koi ta'aluq nahin specially aaj kal dramay aur films tou bilkul hii western culture per mabnii hay iss main yeh saari baatain ilm main izaafa nahin balkay 'gumrahii' ki rawish per chalati hay.... one should avoid such things, agar waqayii halal aur talaaq kay baaray main taasfeel jaanni hain tou Sahah-e-satta main paRhain, Quran ka mutala'a bamay-e-tafseer paRhain you will gain FIRST HAND KNOWLEDGE IN SHA ALLAH.
Ek shaadi shuda mard ya aurat ka kisi kay saath bhi gair sharayii ta'aluq halal nahin, aur agar yehi sabab banta hay aik achii miyan biwi ki life tootnay ka tou meri nazar main iss say baRii koi na-insaafii nahin, Talaaq itna asaan nahin jitna logon nay samjha hay, iss say maashray per bilkhsoos direct victims such as wife and kids suffer a lot, bachoon kay sar say baap ka saaya, auraat ka ruswa hona... Yahan kitni kanwari laRkiyan hain jinn ki shaadi nahin hoti aur talaaq yaafta woh bhi bachoon samayt ki shaadi hona tou aik moujzay say kamm nahin... I guess our society need to learn more and respect more..... kiyonki jo barkat halal main hay woh haram kamoom main nahin aur shaitaan ka tou kaam hii yehi hay logon ko GUMRAH karna, we must protect ourselves from all such sins.... khush rahyeh
g subject is under study in sha ALLAH detail parhon gi
lekin dramas ko mehz dramas k tor pe nhi lia jata mai uni mai hoty hoay strongly observe krti hon k 90% isy follow kia ja raha hai
aur islam ko study krna apni choice h as u know hmary boht kam parents hain jo tafseer waghaira focus krty hain bachon ko lazmi sikhany k liye
so amoman media ka dikhaya hi follow kia ja raha h
,,,وہی تو سب سے زیادہ ہے نُکتہ چِیں میرا
..!!!جو مُسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے
Bilkul sahi likha hai /up
Indian dramo ka bhoot ata jarha hai in mai