wah
Gazal
Mai Dushmano Me Hoon Ke Tere Dosto Me Hoon
Teri Qareeb Aa Ke Bari Uljhano Me Hoon
Mujh Se Gurez Paa Hai Tu Har Rasta Badal!
Mai Sang e Raah Hoon To Sabhi Raasto Me Hoon
Tu Aa Chuka Hai Satah Pe Kab Se Khabar Nahi
Be Dard Mai Bhi Inhi Gehraayon Me Hoon!
Ae Yaar e Khush Dyaar, Tujhe Kia Khabar Ke Mai
Kab Se Udaasiyon Ke Ghaney Jungle Me Hoon!
Tu Loot Kr Bhi Ahl e Tamanna Ko Khush Nahi
Mai Lut Ke Bhi Wafa Ke Inhi Qaafilon Me Hoon
Badla Na Mere Baad Bhi Mozoo E Guftugu
Mai Ja Chuka Hoon Phir Bhi Teri Mehfilon Me Hoon
Mujh Se Bichar Kr Tu Bhi Roye Ga Umar Bhar
Ye Soch Le Ke Mai Bhi Teri Khwahisho Me Hoon
Tu Hans Raha Hai Mujh Pe Mera Haal Dekh Kar
Aur Phir Bhi Mai Shareek Tere QehQahon Me Hoon
Khud Bhi Misaal e Laala e Sehra Lahu Lahu
Aur Khud faraz Apne Tamashayon Me Hoon
thanks
meri bhi ye favorite poetry hai...thanks for such a nice comment
gud janab ronaq hogaye sos main ap k ane sey
Very Nice
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا