my try
"Mohabbat aur Aqeedatt"
Sawal Yeh Hai.
(kia mohabat aur aqeedat aik hi chez kay do naam hain?agar hain tu kaisy hain aur agar nai tu inn main kia farq hai)
Rules:
Ek member ek hi baar share karay ga
Jawab app k apney lafzon main hona chahye
Last date 28/11/2015 hai.
Winner Admins decide karen gy.
Walaikum Assalaam
Bohat hii khoobsurat tehreer kii hay humaray Sarfraz bhai nay... khair... Jahan tak merii naaqis aqal ka taaluq hay tou mera jawab mundarjazayl hay...
Meri nazar main jiss mohabbat main aqeedat nahin woh mohabbat paakeezgii kay darjay tak nahin poohanch saktii.... aur mohabbat honay kay liye uss ko pehlay aqeedat kii seeRiyan chaRnii paRay giii..... Yoon samajh lijye kay agar aqeedat woh pehla marhala hota hay jo insaan ko kisi ki mohabbat main mubtala kardaita hay aur jo mohabbat aqeedat kay marhalay say guzartii hay phir usski sachayiii per poora yaqeen kia jaa sakta hay kiyonki aqeedat say kii gayii mohabbat, na kisi rang-o-roop kii mohtaaj hotii hay, na qad-o-omar uss ko mutasir karta hay, kiyonki woh aqeedat uss shaks kay kirdaaar aur uss kay husn-o-sulooq say hotii hay, woh aqeedat saadgii say hotii hay, woh aqeedat uss kay wajood kay zaahiri husn say nahin balkay baatni khoobsurtii say hotii hay....!!!
achaa likha haii aapp nayy bhaii....
main nayy iss aqeedat aor mohabatt par bohat sarr khapaya haii lag bhag mjhay 2 years lagay
hain issayy samjhnay main,main nay apnay doston kay sath iss parr bohat discussion kii hai,phir
jo log kisi say aqeedat rakhtay hain us kaa observation kia hai,un kayy afffall ko note kia hai,woh
jab miltay hain etc bht sari chzain note ki hai tab hii main iss nateeja par pohancha hon keh aqeedatt mohabat
sayy bhii barh kar aik jazba haii,aik aisa jazba jiss ki koi hadd nahin...
" aqeedatt hoti hai ti bass hoti hai,yeh na tu kisi kayy batnii yaa zahrii kirdarr kii
mohtajj haii aorr na kisi kay husn e salookk etc ki,its God gifted,yeh hoti hai tu bass
hoti hai aor agar naa hoo tuu joo marzii aaieyy kar lain naii hoo saktii"
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
"Mohabbat aur Aqeedatt"
(kia mohabat aur aqeedat aik hi chez kay do naam hain?agar hain tu kaisy hain aur agar nai tu inn main kia farq hai)
Agerchy k dono mufakkareen (thefire1;sarfraz Qamar) ne khob wazahat kr di
magar hmari nuqta cheeniyoun or na maqoliyat ki jaga abi baqi hai
Hum ne rang mai abi bang dalna hai !!
to janab
muhabbat aur aqeedat
ek hi cheez k do naam nhi balky ye dono alag alag hain jo kahen ja k milti b hain
(in k spelling b dekhain bilkul mukhtalif hain)
jese kabi 2 qomi nazria hota tha jisy hm ne indra k hathon ganga mai bahwa dia.
khair hm 2 mukhtalif qomon pe nhi jayen ge jo kbi mukhtalif nazar ati then
Balky hum apny mozo pe hi sukhan arayi farmayen ge
g han Apny mozo yani muhabbat aur aqeedat k jameelon mai hi parry rahain ge hmain bhala kia zarorat hai k 2 qomi nazriya pe maghaz mari mai apny qeemti waqt ka zya'n kren jo hm ne faltu kamon k liye mukhtis kr rakha hai...
Muhabbat aur aqeedat mai ye mamaslat hai k
dono khuda dad hain insan khud se apny dil mai paida nhi kr skta
ku k hmary dilon mai itny marz hain k inki jaga hi nhi bachti
Muhabbat mai ap jazbati wabastagi rakhty hain jo mazboot b ho skti hai aur kamzor b,
waqti b ho skti hai aur mustakil b, is se ap k sary sary jazbat muttasil hoty hain. Han muhabbat mai kahen aqeedat ka moqam aa skta hain. Aqeedat be lous ,bina swal dil se her baat pe yaqeen krny k naam hai.
Jese hmary han kuch masoom log jin se aqeedat rakhty hain un k bary mai kuch ulta seda nhi sunna chahty, jis se aqeedat ho uska naam barhy adab aur chah se lety hain, khas to pe mazhabi rehnumaon ka zikar kron gi log un se aqeedat rakhty hain jese aulia, sofia se b aur mojoda dor mai "peer o faqir" jin k han log bait krty hain. Ap b dekh skti hain mera zati mushahda hai k log un k samny hath band kr ,nazren jukaye bary adab se khary hoty hain (hatta k jo mjy boht ajeeb laga k kuch log rukh morr kr un k samny se nhi guzarty k pecha hoga) un se jo kaha jata hai wo bs man lety hain.
Han agar shayer k mehbob ki baat ki jaye to wahan mehaz aqeedat mahal h ku k muhabbat insan ko sb se pehly "Hasil" krny ki "La-Hasil" Khwahish mai mubtla krti hai. Muhabbat mai b ap mehbob ka naam barri chah se lety hain magar yahan "TalaB" shamil rehti hai. Khwahishat, twaqqat ka hona muhabbat ka juzw hai.
Lekin aqeedat mai bas hath bandy suna jata hai, chaha jata hai magar kisi "Talab" ka amal dakhal nhi hota. jesa k aqeedat ka lafz b aqad se nikla yani pukhta kr lena (kuch khayalat ya nazriyat ko.
To dono ka bunyadi farq "Talab" ka hai.
yahan ye b mention kr don k aqeedat aqayid se hai lehaza aqeedat ghalat b ho skti hai. khair ye mozo se thora hatt jata hai is liye is pe phir kbi andhera dalon gi !
Abi yehi naqsat mulahiza kijiye!
Fe aman ALLAH
Last edited by Arosa Hya; 26-11-2015 at 01:12 AM. Reason: font size
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
mohbat aor aqeedatt parr aap nay khoob likhaa,magarr do chezain
mjhay kuch ajeeb lagii uss parr apni raieyy zarorr doon gaa....
Doo Qoomii Nazriraa ussii din wajood main aa giya tha jiss din Barasagherr main
pehla shakhss muslman howa,lihaza do qomi nazriya thaa,haii aorr aainda bhi rhay
gaaa,aorr iss doo qoomi nazriya koo samjhnay kay liey aapp ko tehreek e pakistan
ka baghoor mutaliya karna hoo gaa phirr baatt samjh aaiey gii,aapp nai Indra Gandhi
ka hawala diya woh quote indra nay Pakistan ki takssem par kahah tha keh ham nay
do qomi nazriya khaleej e bangal main daboo diya..Indra ka yeh dawa aaj bhi ghalt
haii iss kii tazaa tareenn missall aap koo aaj kal kay india kaa rawiey main nazarr aaiey gi,
wahann muslmanoo kay sath kia kuch hoo raha haii sab ky samnay haii...
dosraa yehh aqeedatt lafzz aqqaidd sayy nai haii, aor aqeedatt kabbhii bhi ghalt
nahinn hotiiii,yeh baat kar ky aapp mozzoo say acha khasaa hatt b gaii hainn /up
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
mai apki raye ka ehtram krti hon
shukria!
Ab kuch kehna chahon gi........
mai ne baat ki do qomi nazria dobwany ki to wo apni halat e haza per ki
us ka pas e manzar ye k phly musalman ki pehchan usy dekh kr hi ho jati thi
magar ab hm kirdar ki jin pastiyoun mai gir chuky hain musalman ka libada hi reh gya pehchan nhi .......... mera nhi khayal k mjy naqshy kheenchny ki zarorat hai sahib e nigah iska shaoor bkhobi rakhty hain... aj hm us maushry ka hissa hain jahan islam "AJNABI" hai so do qomi nazriye ki asas hm ne khud hi daboi.......aur rahi indraa ki baat to wo tareekh nhi tamseel li mai ne ku k wo hmain isi tra dekhna chahti thi k hm un k itny addicted ho jayen k star plus band hony pe log ehtajaj krny lgty hain.
dosri baat mere naqas ilam pe mabni h jisy mai bina solid arguments k hrgiz tasleem nhi ker skti !
jesa k mai ne mention kia k dono khuda dad hain special blessing lekin hum isy kis ro mai le k jaty hain ye hum pe munhasir hai Qk ALLAH Ta'ala roshni deta hai hadayat deta hai phir ikhtyar deta hai apni pasand k rasty k intekhab ka.....aqeedat se apka shaor feham tafakkur nhi cheen lia jata
Last edited by Arosa Hya; 27-11-2015 at 09:59 PM.
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
agar hamaryy kirdar main kami baishiii hoi haii tu iss main nazriya kaa koi kasoor naii
yehh hamarii apni kam fehmii aor kajj addaii hai kehh ham apni asall koo choor karr
nakall kii taraff bhagg rahay hain.....nazriyaa aik roshan chiragh kii tarah hota haii
jiss sayy rahnumaii lii jataii haii,nazriatt kabi khatam nahin hotay agar nazriya hii khatamm
hoo jaieyy tuu peechayy kuch nahin bachtaa,Indra kiaa chahtii thii yaa mojdaa india kia
chahtaa haiii,iss koo chorrain,aik chzz confirm hai keh "Nazriya e Pakistan" exist karta
tha aorr haiii, kiounkeh Quran main wazehh mojood haii keh Do jamattain hai,aik "Hizzb u llah"
aor Dosrii Hizbb ul shaitan".aor nazriya e pk ki bunyad islam parr haiii,joo ta qayamat
qaimm rahayy gaaaaaaaaa
rahii baatt aqeedatt kii tu woh sirf aor sirf khaliss jazbaa hai,mohabat
main phirr b kioun kahan kab kii gunjaish haii magarr aqeedatt main aisa
balikol naii haiii,
"mohabbat kay bad kii serhii aqeedatt kii haii aor jo yehh safar
baghair shakook o shubhatt kay
tayy laita haii tu phirr ishq kii barii aattiiii haiii,
wagrna rastaaa gumm hoo jata haii....."
agarr aqeeedat bhii haii aor dil main shak o shubah bhii haii,sawallat bhii hain aor lagics
bhi hain tu woh aqeedat nhain kuch aorr hii haii....
Bakooll iqball
Bayy Khattarr Kood parraaa aatish e namrood main ishq
akal hai mehv e tamashaieyy lab baamm abhiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
Last edited by sarfraz_qamar; 28-11-2015 at 12:55 AM.
تیری انگلیاں میرے جسم میںیونÛÛŒ لمس بن Ú©Û’ Ú¯Ú‘ÛŒ رÛیں
ک٠کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے Ù†Û Ø§ØªØ§Ø±Ù†Ø§
Kitna ajeeb hai na k aap mohabbat aur aqeeqat, donoun ka farq poochna chah rhay hien?
shaid aap ko itna ajeeb na lagay..jttna mjhe lag rha hai....shaid personal experiences matter wali bat hai..
Mohabbat....Aqeeqat....donu me farq to aap tb daikh sktay hein...jb aap in ko kissi aik paymaanay p jaanch skain....in ko compare kr skain...laikin nhe..aisa krna shaid na-mumkin see bat ho...kitabain, shair, adeeb, alfaz ka hairphair...boht kuch ho skta hai....boht kuch keh sktay hien..boht say hawalay day sktay..
laikin baat boht bunyaadi see hai....
Aqeeqat to wo hai na jo aik shakhs ko paaon choomnay p lay aati hai...bina ye dekhay k agla bnda is ka mustahiq hai ya nhe ...log kehtay hein andhee aqeeqat... me kehta houn aqeeqat hoti hee andhee hai....sb dekh k bhla aqeeqat kesay paida ho skti hai...
aur Mohabbat..mohabbat to insaan ko aisa her giz nhe honay deti k wo apna waqar, apni zaat sb kho bethay...mohabat to shaid insaan ke wo takmeel hai jo usay ashraful makhlooqat k darjay p faiz krti hai..
kehnay ko to mohabbat bhe andhee he hoti hai...laikin nhe saahib....mohabbat andhee nhe hoti...bus bekhauf hoti hai..apnay agay kisi ke chlnay nhe deti...kuch nhe sunti..kuch nhe kehti...submission ka word shaid mohabbat ko sahi explain kray....
mre mutabiq , is dafa admin topic choose krtay hue aik galat angle p chalay gae hein.....in donou ka farq nhe poochna chahye tha....
sarfraz theek keh rhay hien....acha likha hai...boht acha likha hai..laikin sirf aik choti see bat....Aap mehboob say aqeeqat rkho to kia mohabbat kr sktay ho? shaid yehi farq hai......
Suno Loago.....!!Mairi Aankhain Kharido gay?????Mujhay Ik KHAWAB ka Taawaan bhernaa Hai........
Closed