maine aisa na kuch parha hai na hi suna hai k gunah hota hai .. wahan tu bare se bare gunah maaf hojate hian tu fir yeh baat koi kaise kar sakta hai? Jab shadi ko Allah ne farz nahi kia tu fir Hajj karne wale k khate mai gunah ku dale ga bhala?
us ko kehna tha konse program mai dekha hai bhai or kon sa molvi keh rha tha yeh tu batao
yar awein chawalin mar rahe thi behas he hogaye fazol
Aisi koi hadees nhi hai har sahib e hashiyat per hujj farz hai chahe is ki kitni b betiyan kion na bethi hoi hoon ....
Astaghfirullah log apne pass se itni baten bana lete hain
Beti k nikkah ka farz ada krna drasal hajj e ka'aba ada krny k sawab k braber hai ... shayad isy ghalat interpret kia ho
aisa koi hadees nhi parhi mai ne jis mai aisa kuch kaha ho...
phly ye btayen ye swal kahan se aya?
jab yeh bahes hue tu mere zahan main yeh sawal aya k main b poch he lo bhai k shyd mera he ilm na kafi hia
Pata nahi yeh aye din ajeebo gareeb kisam k sawal ya Fatawy kahan se aa jate hain yeh tu sunay mai hi bara ajeeb lagta hai wahan jab jao na tu yaqeen kare wo hai na kisi arbi ko kisi ajmi per... Kisi gorahy ko kisi kally per koi bartari nahi wohan waiqya wohi mamla hai wohan koi bora nahi koi jawan nahi koi mard o aurat ki tafreeq nahi wohan sab aik hi saf mai hain tu yeh tu boht choti si baat hai k beti k hote hajj nahi kar sakty wohan tu log jawan beti ko shadi se pahle hajj karne le kar ate
Asal mai yeh baat hi mere damag mai thaaa kar k lagi hai is liye shiydh mau answer b theek se nahi kar pa rahi
main tu khud yar ok keh ker khamosh hogaye thi k thek hia bus or baat nahi gunah horaha fazol ka.
Walaikum Assalam aisa hargiz nhi hai agar sahib istitat hai koi toe phr usi waqt hajj ya umrah karey.. for example Islam ke 5 farz hain UN main se aik ye bhi hai beti ki shadi uski zimedari zaroor hai par hajj ki ahmiat zyada hai
Aisi koi hadees nhi hai har sahib e hashiyat per hujj farz hai chahe is ki kitni b betiyan kion na bethi hoi hoon ....
Astaghfirullah log apne pass se itni baten bana lete hain