pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao
hanson aur hanste-hanste dubte jao khalaon mein
hamein ye rat bhari hai sitaro tum to so jao
tumhen kya aj bhi koi agar milne nahin aya
ye bazi ham ne hari hai sitaro tum to so jao
kahe jate ho ro-ro k hamara hal duniya se
ye kaisi razdari hai sitaro tum to so jao
hamein to aj ki shab pau phate tak jagna hoga
yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
hamein bhi nind a jayegi ham bhi so hi jayenge
abhi kuch beqarari hai sitaro tum to so jao