Quote Originally Posted by aliza View Post
Ha ji sahi samjha apne shukriya

Mainey london ke akhbaron main parha ke bartaniya ke aik chotey se qasby main aik gharib aor berozgar aadmin ka bacha la pata ho gaya. do din tak us qsaby ke tamam choty barhey saara kaam kaaj chorh kar subha se sham tak bachey ki talash main sargardan rahey. Maqami police ke Ilawa dosry zilon ki police bhi, sainkron ki tadaad main, tafteesh o talash main shareek ho gayi. do din tak aik sarkari helicopter saary ilaaqy ke aoper chkr lagata raha. Teen din tak qomi akhbaron main aor radio aor TV per aik ghareeb aadmi ke bachey ki gumshudgi ko prime time main mufsal coverage di gayi. Usi tarh pichley dinon intehai nighaasht ke ward main nurson ki kami ke bais aik ilm shehri ki teen char maah ki bachi ke dil ka operation kayi hafton tak multvi hota raha..IS per akhbarat aor BBC ny jo hakumat ka apna idara hei, white hall, ko prime minister Mrs. Thatcher samait sar per utha liya. Adalat main muqdama dair hoa. Parliament main bahas hoi, public dbao itna barha ke do din baad bachi ka operation karna parha. mazkura bala donon sanhon main pori qom aik gharib aadmi ke dukh dard main shareek aor muztarb rahi. kisi ne ye nahin pocha ke wo English bolta hai ya Scotish, ya Dylish. Roman katholic hai ya protastant, Liberal party se taloq hai ya conservatives ka hami hai. Kahin Irish to nahin? aik lamhey ke liye bhi us ki samaji ya ma'ashi hesiyat us ke bunyadi isathaqaq main harj nahin howi. Ab aik hi lamhey ke liye is ka mawazna vatan e aziz ke halat se kijiye. yahan hum rozana lasani, girohi aor subayi chipqlsh aor tasadm ki khbarein, hadsaat, aor qabil e Ilaj bimarion main insaani jano ke itlaaf ki reportein parhty hain. parhty hain aor usy muqadarat ka hasar aor rozana ka mamol samajh kar akbar aor apny zehn ka warq palt kar sports aor stock market ki khabarin parheny lagty hain. Hum bahot masroof hain.. hamary paas udas rehny aor sog manany ke liye koi waqt nahin hai.
"Tera loot gaya sehar bhanbor sase be khabare"

Aik zinda zamadar aor mahzeb mashrey ki ye pehchan hai ke agar woh kisi ke dukh dard ka madawa nahin kar sakta to us main shareek ho jata hai..
( cham e shad e yaran .... mushaq Ahmed yusufi)

============

I tried my best here koi ghelti ho to muaf kar deyna.. correct kar ke parh leyna. 1-2 lafz meri samajh sey bahir they per baat samajh to aa jaati hai.. Shukriya..

and enjoy..