she'r dar asl wo hee hain ''hasrat''
sunte hee dil mein jo utar jayein
[ hasrat mohani]
Asslam o Alikum...
aaiye dosto ek nayaa silsilaa shuroo karte hain iss forum par.
kabhee-kabhee hamein koee shair dil ko bahut chhoo jaata hai usse parhte waqt aour ham usse kisee ke saath 'share' karnaa chaahte hain....to dosto jab bhee koee shair aapko behad pasand aajaaye to usse aap yahaa'n 'post' kar ne kee zahmat karein jis se kee aap ke aour dost-o-ahbaab uss se lutf-andoz ho sakein...ummeed hai aap meri baat samajh gaye honge.
leejiye abhee-abhee maine ek sher parhaa aour mujhe bahut pasnd aaya, aap sab ko nazar kar rahii hoo'n..
kOii tO Raabta hAi jO dhOondta hOn Usey
Choua Na hOga tO MehSOos Kar ChUka hOnga
Misaal e Raig hOn Main Sa'aatOn Kii mUthii Mein
wO jAb Tak Aaye Ga Main Sara Bikhar ChUka hOnga
mera siggy koun uraa le gaya....
Good !!!!!!
Mai'n Jab Bhi Khuvaja Haider Ali Aatish Ka Yeh Shair Parhta Hoo'n To Mujhay Lagta Hai Yeh Shair Unho'n Nay Meray Liye Kahaa Tha ....
Mujhay Bohat Pasand Hai .....
Mat Pooch!! Aalam E BarGushtaa E Ta'alayi Aatish',,,
Barasti Aag, Jo Baaraa'n Ki Aarzoo Kartay :-) :-*
(-: Bol Kay Lab Aazaad Hai'n Teray :-)
Aur Ghalib Kaa Aik Shair Mujhay Yaad Aata Hai To Zindagii Kay Kaafi Lamhaat Taaza Ho Jaatay Hai'n .....
Yaad Hai'n Ghalib' Tujhay Voh Din Kay Vajad E Zauk Mai'n,,,
Zakham Say Girta To Mai'n Palko'n Say Chuntaa Thaa Namak :-) :-*
(-: Bol Kay Lab Aazaad Hai'n Teray :-)
tUjhey Main Kis Trah Madd e mUqaabil Maan lOon Apna
Mera Pehla Qadam Ab Bhi Teri Manzil Sey Aagey hAi
mera siggy koun uraa le gaya....
Aur Qateel Kaa Aik Qata'a Mujhay Entihaayi Pasand Hai ....
Jo Kay Meri Mangetar Ko Mainay Bhaijaa Thaa Aur Kahaa Thaa Kay Qateel Yeh Naa Likhta To Shaayad Mai'n Likh Daitaa Uss Kay Liye :-P
Magar Haaye KamBakht ... Voh Thehri AqalMand Bandi Jis Ko Shair Sirf Bus/Truck/Riksho'n Vaalay Achay Lagtay ...
Meray Bhaijay Shair Uss Kay Uper Say Guzar Jaatay ..........
To Shair Hai ......
Bashar Kay Roop Mai'n Ek Dil-Rubaaa Tilism Banay,,,
Shafaq Ko Dhoop Mai'n Milaaow To Uss Ka Jism Banay,,,
Voh Moajzaat Ki Aisi Hadd Ko Aa Pohancha Hai Qateel',,,
Mai'n Koi Bhi Harf Likhoo'n To Uss Ka Esm Banay :-) :-* :-)
(-: Bol Kay Lab Aazaad Hai'n Teray :-)
BhUla Diya tO Bhulaaney Kii Inteha Kar Dii
K Ab wO Shakhs Meray Wehm o gUmaaN Sey Bhi Gaya
Kisi Key Haath Sey Nikla hUa Teer hOn Main
Hadaf Ko Cho Na Saka Aur KamaaN Sey Bhi Gaya
mera siggy koun uraa le gaya....