Originally Posted by
aliza
Assalam o alaikum sabhi ko
Is thread me hum hamare bachpan k Ramadan k experiences share karenge...
Sab se yaadgaar lamhat jo aj tk aur hamesha apke sath hai wo bachpan k Ramadan se judhi...
Aj maine ek video clip dkha to Mjhe mera bachpan yaad aagaya
Jab hum 5 ya 6 saal k the tab Ramadan k suhoor k waqt do alag alag shaks humein suhoor me uthane k liye atey the with drums.. jab hum bht chote the unki awaz se uth jate the..aur suhoor karne k liye baith jate the..mumma humein roza nahi rakhne dete the cz hum kafi chote the aur school bhi jana hota tha..humein dad ka bada darr tha hum uth to jate bt dad k darr se dinning room k door k peche chup kar dkhte the aur jaise hi dad suhoor finish kar k jate the hum bhag kar suhoor kar lete the mumma to tab suhoor kara dete the bt subha phr kch khila dete the..aur kehte the chote bacho ka roza so kar uthne par Khatm ho jata hai..aur jab hum chup kar dkhte to kabhi pakde bhi jate the..aur hamari awaze sun kar jab dad puchte kaun hai to hum yane jo bhi bhai behen hote billi k awaz nikalte..bachpan bhi kitna masoom hota hai na.. then mumma awaz lagate k ajao aur khalo bt roza nahi rakhna hai tmhe...
Coming back to suhoor me uthane wale uncle jab hum unki awaz se uth te mumma dara kar sula deti thi aur kehti k sojao wo bacho ko le jane wale uncle hai..aur yakeen mano hum dar k mare unhe window me se curtain k Peche se peep kar k dkhte..aur jab wo eid par atey drum bajate huwe hum gharo me bhag jate the
Do shaks atey they suhoor k waqt aur kch ye gatey huwe jagate the ek ka uthane wala lyrics kch yuh thi " murge shareef azaan diye jago utho oh rozedaro. Sehri karo utho Dam Dam Dam *drum*
Aur ek ka ye tha "roti jawar k chatni achar k Ramzan k rozedaro sehri karo utho Dam Dam Dam *drum*
Bas waqt guzar jata hai aur yadein reh jati hai...
Mumma ko har dafa kehte the k roza rehna hai suhoor k liye uthao bt mumma nahi uthate the ek dafa humne bina suhoor ka roza rakha tab se mumma daily uthane lag gaye the...
To mera bachpan k Ramadan k ye yaadein hai ap sabhi apni yadein share kare
..........................................
Ye dolat bhi le lo ye shuhrat bhi le lo
Bhaley cheen lo muj se meri jawani ,
Magar mujh ko loata do BACHPAN ka sawan,
Wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani ....
...........................................