Insaan Se Insaan Ka Chehra Nahi Milta
Mujhe Se Meri Pehchan Ka Chehra Nahi Milta
Sunte They Ke Naiki Ki Koi Shakl Nahi Hai
Mujhko Tere Ehsaan Ka Chehra Nahi Milta
Hanste Hoye Chehron Mei To Aa Jati Hai Tashbeeh
Har Ek Pareshaan Ka Chehra Nahi Milta
Samjhoge To Mil Jayenge Aayat Ke Ma'ane
Dekhoge To Quraan Ka Chehra Nahi Milta
Har Qoam Ke Mazhab Ke Khudawon Mei Hai Tafreeq
Har Ram Se Rehmaan Ka Chehra Nahi Milta
Har Shakhs Ke Chehre Ki Banawat Hi Juda Hai
Har Naak Ka Har Kaan Se Chehra Nahi Milta
Hoti Hai Mulaqat Bhi Milti Hain Hidayaat
Moosa Ko Bhi Rehmaan Ka Chehra Nahi Milta
Harkat Bhi Ek Jaisi Hain Aadat Bhi Fayez
Mujhse Kaheen Shaitaan Ka Chehra Nahi Milta
Poet: Fayez Abdul Aziz Mirza