~*~ Kaho to Lout Jatey hain ~*~
Kaho To Lout Jatey Hain
Abhi To Baat Lamhoun Tak Hai Saaloun Tak Nahi Aaii
Abhi Muskanoun Kii Nobat Bhi Na'aloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Koii Majboorii Khyaloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Gard Pairoun Tak Hai Baaloun Tak Nahi Aaii
Kaho To Lout Jatey Hain
Chalo Eik Faisla Karney Shajar Kii Oar Jatey Hain
Abhi Kajal Kii Dourii Surkh Galoun Tak Nahi Aaii
Zubaan Dantoun Talak Hai Zehar Pyaloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Mushk E Kastoorii Ghazaloun Tak Nahi Aaii
Abhi Roodad E Be-Unwaan Humarey Darmiyaan Hai
Dunya Walloun Ta Nahi Aii
Kaho To Lout Jatey Hain
Abhi Nazdeek Hain Ghar Aur Manzil Door Hai Apni
Mubada Naar Ho Jaye Yeh Hastii Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatey Hain
Yeh Rasta Pyar Ka Rasta
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Bohat Dushwaar Hai Janaa
K Is Rastey Ka Har Zarra Bhi ik Kohsaar Hai Janaa
Kaho To Lout Jatey Hain
Meray Barey Na Kuch Socho
Tumhara Narm O Nazuk Haath Ho gur Meray Hathoun Mein
To Main Samjhon K Jaisey Do Jhaan Hain Meri Muthii Mein
Tumhara Qurb Ho To Mushkilien Kafoor Ho Jaien
Yeh Andhay Aur Kaaley Raastey Pur-Noor Ho Jaien
Tumharey Gaisooun Kii Chaoun Mil Jaye To Sooraj Sey Ulajhna Baat Hii Kya Hai
Utha Lo Apna Saya To Meri Auqaat Hii Kya Hai
Mujhey Maloom Hai Itna K Daiyem Zindgii Posheeda Hai In Chaar Qadmoun Mein
Bohet Sii Raahatien Muzmir Hain In Dushwaar Rastoun Mein
Meray Barey Na Kuch Socho
Tum Apni Baat Batlaao
Kaho to Chaltey Rehtey Hain
Kaho To Lout Jatey Hain