Originally Posted by
aliza
Arz-E-Niyaz-E-Ishq K Qabil Nahi Raha
Jis Dil Pe Naz Tha Mujhe Wo Dil Nahi Raha
Jata Hun Dag-E-Hasrat-E-Hasti Liye Hue
Hun Shamma-E-Kushta+Darkhur-E-Mahfil Nahi Raha
Marne Ki Ai Dil Aur Hi Tadbir Kar K Main
Shayan-E-Dast-O-Bazu-E-Qatil Nahi Raha
Ba-Ru-E-Shash Jihat Dar-E-Ainabaz Hai
Yan Imtiaz-E-Nakis-O-Qamil Nahi Rahaa
Wa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqab-E-Husn
Gair Az Nigah Ab Koi Hail Nahi Raha
Go Main Raha Rahin-E-Sitam Haye Rozgar
Lekin Tere Khayal Se Gafil Nahi Raha
Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit K Wan
Hasil Siwaye Hasrat-E-Hasil Nahi Raha
Bedad-E-Ishq Se Nahi Darta Magar ‘Asad’
Jis Dil Pe Naz Tha Mujhe Wo Dil Nahi Raha