October, November and December umooman busy rehtay hain... Business main inn ko 'Year Closing' kaha jaata hay... iss doran mood naa chahtay huway bhii kharab rehta hay, raatoon kii neendain uR jaatii hain, dinn ka qarar khoo jaata hay, debt collection khuwaaboon main bhii sataanay lagta hay.... naa dimaaghii sukoon muyassar hota hay aur naa hii qalbiii rahat..... aisay main gayiiib hojaatna hii aqalmandii ki nishaanii hay mohatarma
Magar..... magar.... magar....
Main yeh bahana nahin bana raha... sach much kaam main busy hoon, isi wajah say thoRa gayab hoon..... sorry
ROMAN URDU for all those members who cant read URDU (specially to our neighbor @aliza paRosiyoon kay bhii kuch huqooq hotay hain
Barouz MANGAL 24 October 2017
Assalaam-O-alaikum
Aaj Humaray VP (Vice President) say meeting kay douraan iss baat ko seekha kay Business main chahay sagayy bhaii say bhii koi deal karain uss ko likhat paRat kay saath apnay record main rakhain... maqsad yeh nahin kay who aap ka bhaii hay aur aap koo uss per aiytibaar nahin...... maqsad yeh kay kay "Likhiii hoyee baatain badlii nahin jaa saktii"
Baqalam-e-khudh thefire1
SachiiDosti
Wah ji wah very true ji
Aur parosiyon ka to sabse pehle haqh hota hai janaab jaha tak humko pata hai
Khan Sahab Kehtay hain kay "Sahab Insaan Kisi haal main Khush nahin.... Jo paisay waalay hain who paisay kii wajah say rotay hain aur jo ghareeb hain who ghurbat kii wajah say rotay hain.... Insaan rota hua aata hay aur rota hua poori zindagii basar kar daita hay....."
Wah Khan sahab ne to bht patey k baat hai hai.. Khan sahan ko hamara salam arz karna
Aur apka shukriya k apne itni achi baat humse share ki jazakallah
Waisay bhii jiss din office kii chutti uss dinn ghar main cooking karta hoon... main araam main zindagi waste nahin karta ... its always good to be active