Dar-o-Deewar pe shaklen si bananay ayi
Phir ye barish meri Tanhai churanay ayi

Zindagi baap ki tarah saza deti hay
Reham dil Maa ki tarah maut bachanay ayi

Ajkal phir dil-e-Barbaad ki baten hain wohi
Ham tu samjhay thay k Aqal Thikanay ayi+

Dil mein Aahat si hoi, rooh mein dastak gonji
Kis ki khushboo ye mere sarhanay ayi

Mian ne jab pehlay pahal apna watan chhora tha
Door tak mujhe ko aik awa bolanay ayi

Teri Mannid Teri Awaz Bhi Zalim Nikli
Jab Bhi Ayi hay, Mera Dil Hi Dukhanay ayi ...