"Ikhtiyar"
Lafz ikhtiyar se mjy inter k ikhtiyari mazameen yad aa gaye hain jin mai 6 mai se ap sirf 3 ka intakhab apni marzi se kr skty hain. Baqi k ap chahain ya na chahain , pasand krain ya na pasand krain,
apko IKHTIYAR krna hi parhain ge.
Aur apny muntakhib shuda mazameen k sath b mamla kuch youn hota hai
k kbi ap dosron ki tajweez pr rakh lety hain
kbi zabardasti per,
kbi apko lgta hai k halaat aise hain k mai rakhny pr majbor hon,
yani k apny ikhtiyar (options) b ap sahi treeqy se ikhtiyar nhi kar paty...
Kia hi baat hai un logon ki jo ikhtiyar b khud krty aur mutmayin b rehty hain
aur us se b zyada kamal balky Qabil e rashk to wo log hain jo ikhiyari k sath baqi k 3 lazmi pr b razi ho kr bakhushi mehnat krty hain.
(Apko lag raha hai k mai mozo se hat rahi hon magar dheeraj rakhiye tahreer abi jari hai)
Aik mrtba Hazrat Ali R.A k pas aik shakhs aya aur us ne swal kia
k insan k pas kitna ikhtiyar hai?
To aap R.A ne frmaya :
Apni aik tang oper kr k kharry ho jao.
Tmhara ikhtiyar sirf itna hai.
Hum sb janty hain koi b shakhs Bayak waqt dono tangain oper kr k khara nhi ho skta...
To jo tang zameen per hai usy mai ne COMPULSORY se tashbeeh di
Aur jise hum kuch der k liye apni mrzi se utha skty usy OPTIONAL yani IKHTIYARI se tashbeeh di...
Insan k pas apni kismat mai hony waly afaal mai isi tra radd e amal ka ikhtiyar hai.
Wo any waly waqt mai masaib k andheron, gham k badal , dukh ki Aandhiyoun se nhi bach skta
Ku k ye sb wo uski Taqdeer mai likh di gayi hain.
Us k pas RADD E AMAL ka ikhtiyar hai.
Masbat o manfi k raston ka intekhab hai.
Achayi aur burayi apnany ka ikhtiyar hai.
Us k pas ikhtiyar hai k :
Musibat mai shor machaye ya SABAR kry.
Dukh mai RAB ko Pukary ya k logon mai dandora peetay.
Azmaish mai shikwa kry ya Sabat Qadam rahy.
Bemari mai sabar kr k ache ki umeed rakhy ya jald baz aur be sabra ho kr mayos ho jaye.
Kuch chin jany per matam kry ya Razi Ba Raza ho jaye.
Gunah ho jany pr data rahy ya Toba kr ly.
Ilm milny per aajaz ho ya gharoor mai parr jaye.
Mal milny pr Sakhi ho ya Bukheel ban jaye.
Naimat milny per shukar bja laye ya aib joi kry.
Uhda milny par ameen rahy ya badayanat ho jaye.
Izzat milny par tabey ho ya akarny lagy.
Ikhtiyar milny per Be-ikhityar ho ya Had mai Rahy.
Sara mamla ikhtiyar ka hai ... jo chahy rah apnaye
Per ALLAH frmata hai
"Wohi hai jis ne paida kia mout ko aur zindagi ko taky azma ly k tum mai se kon naik amal krta hai"
Mout aur zindagi k drmayan ka arsa ikhtiyar ka doran hai
k kon kis rah ko ikhtiar krta hai.
Qabil e rashk hain wo log
jo COMPULSORY aur OPTIONAL dono mai razi ba raza ho jaty hain
aur Uski raza k hasol k liye mehnat krty hain.
ALLAHumma ja'alna minhum. Ameen