Zara si der mein hum kaise kholte uss ko,
tamaam umar lagi jhooth bolte uss ko.Jise kasheed kiya tha khumaar-e-khushboo se,
misaal-e rang hawaaon mein gholtey uss ko.Woh khwaab mein hi utarta shuaa-e subah ke saath,
hum apne aap hi palkon pe taultey uss ko.Woh ashq tha usey aankhon mein dafan hona tha,
gauhar na tha ki sitaaron mein roltey uss ko.Woh bewafa tha toh iqraar laazmi karta,
kuchh aur der meri jaan tatoltey uss ko.Kisi ki aankh se ‘mohsin’ zaroor peeta hai,
tamaam shehar ne dekha hai daultey uss ko. !!