-
Writers Club Competition December 2017
Is Maah App Ko
"Naimat"
Per Choti Si Tehreer Likhni Hai...
Rules:
Ek member ek hi baar share karay ga
Tehreer App Ki Apni Likhi Honi Chahye
Last date 28/12/2017 hai
Winner Admins decide karen gy.
-
Walaikum Assalaam....
Itnay WASEE mozoo per ek chotii see tehreer likhna insaaf nahin hoga, magar phir bhii takmeel-e-hukum karta hoon... aik chota sa tehreer likh raha hoon... bas yeh mozoo paRhtay hii zehan main gardish karnay lagi.........!!!
Aaj akhbaar ki surkhii paRhiii 'Sar-e-Bazar aik Naujawan Ki Laash Baramad" mazeed tafseelat safha no 09 per mulhaaiza farmayeh...
Safha No. 09 Naujawan ki Laash (Baqiya tafseel) -
Aik khoobsurat sa naujawaan, jis kay behtreen qad-o-qaamat, chehra aisay jaisaay choudwii ka chaand pur-waqar tareeqay say chamak raha hoo..... Neeli khoobsurat aankhain jaisay neela aasmaan uss main basa hoo, Mazboot jism aisay jaisay koi athlete ho...... magar.... yeh sab ranaiyaan laaal khooon kii nadiii main dobii kisi saRak kay kinaaray bay-yar-o-madadgaar paRii thii......... aaas pass say guzarnay waalay hasrat aur reham kii surat ussay dekhtay aur apnay apnay kaamon main mashghool hojaatay... police nay jay-e-hadsa ka muhasira kar rakha hay.... phir bhii kuch NEWS channels kay numainday uss jasd-e-bayjaan kii tasweerain aur movie banaanay say baaz nahin aarahay.... shayed woh khoobsurat hii itna tha kay log na chaahtay huway bhii apni nazrain uss per markooz kardaitay thay..... aatay jaatay log bhii uss kii naash kii tasweerain nikaaltay... aur kuch naujawaan tou itnay bay-hiss niklay kay uss laash kay saath apni SELFIE tak laina mayoob nahin samajhay........
Jee haan.......Aaj phir kisi Maa ka lakht-e-jigar, kisi Baap kay bhuRapay ka Sahara.... kisi Behan ka 'pyara Bhai', kisi Bhai ka pyara Bhai uss ka dost, kisi kii umeed, kisi kii DUNIYA... kisi kii woh NAIMAT-E-AZEEM jiss ko najaanay waldain nay kitni mannatoon say, kitni duaoon say paala tha...... aaj unn daishat-gard kii goliyon kii nazar hogaya jo shayed khudh bhii nahin jaantay kay yeh shakhs kiyon qatal hua, iss baygunah ka jurm kia tha.....
Aaj phir akhbaar kii news aur police kii investigation srif itna hiii likh sakiii...... "Aik Namaloom Shakhs Kisi Na-Maloom Afraad kii Goli Ka Shikaaar Hogaya, baaqi tehehqeeqat abhii jaari hain"............................................................ ............................................................ ............................................................ .......................
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules