Khayaal-o-Khvaab hue hain muhabbaten kaisii
lahuu men naach rahiin hain ye vahashaten kaisii
na shab ko chaa.Nd hai achchhaa na din ko mehar achchhaa
ye ham pe biit rahii hai.n qayaamaten kaisii
azaab jin kaa tabassum savaab jin kii nigaah
khinchii hu_ii hai.n pas-e-jaanaa.N suurate.n kaisii
havaa ke dosh pe rakkhe hue charaaG hain ham
jo bujh gaye to havaa se shikaayate.n kaisii
jo beKhabar ko_ii guzaraa to sadaa ye dii hai
main sang-e-raah huuN mujh par inaayaten kaisii
jo aa rahe so vo bhii ab sang-o-Khisht laataa hai
fazaa ye ho to dilon kii nazakaten kaisii