Aitbar Sahid Sahab ki aik aazad nazm ap sab se share krta hun, umeed hay apko pasand aye gi:
Khuda jaane tumhaare zehen mai kia hai...
Mere baare mai tum kia sochti ho,
keh nahee sakta...
Magar mai is liye milney se katraata hun tum se..
Ke wo baten,
jo hum likhte hain aapne khat mai chahat se...
Wo baaten aur baaten hain...
Wo baten aisi baten hain ke bas baaten hi baten hain...
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se...
Haqeeqat munkashif hoti nahee alfaz likhne se...
Zubani giftgoo se,
bahami izhar-o-arz-e-hal kerne se...
Bahut si aisi baaten hain,
Jinhen sunne ko kaano ki nahee,
aankhon ki haajat hai....
Agar tum mujh se milne per bahut israar kerti ho...
To phir ik shart hai,
ik lafz bhi kehna na hoton se...
Faqat aankhon se aankhen guftgoo kerti rahen gi...
Khala apne sawaalon ka,
in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi...
Agar milna zaroori hai,
To chhoti si meri yeh shart apne zehen mai rakhna!!!
Poet: Aitebar Sajid