Bujhi hui shama ka dhuaan hun aur apne markaz ko jaa raha hun,
ke dil ki hasti toh mit chuki hai ab apni hasti mita raha hun.
Mohabbat insaan ki hai fitrat kaha hai inqaa ne kar ke ulfat,
woh aur bhi yaad aa raha hai main uss ko jitna bhula raha hun.
Ye waqt hai mujh pe bandagi ka jise kaho sajda kar lun warna,
azal se taab-e-afreenat mein aap apna Khuda raha hun.
Zabaan pe labaik har nafas mein zameen pe sajde hain har qadam par,
chala hun yun buutkade ko naaseh, ke jaise kaabe ko ja raha hun. !!
– Jigar Moradabadi