Agar kabhi meri yaad aaye,
Toh chaand raaton ki naram dilgeer roshni mein,
Kisi sitaare ko dekh lena,
Agar woh nakhl-e-falak se udd kar tumhare qadmon mein aa gire toh,
Ye jaan lena woh istaara tha mere dil ka,
Agar na aaye..
Magar ye mumkin hi kis tarah hai ki tum kisi par nigaah daalo,
Toh uski deewar-e-jaan na toote,
Woh apni hasti na bhool jaaye,
Agar kabhi meri yaad aaye,
Gurez karti hawaa ki lehron pe haath rakhna,
Main khushbuon mein tumhen miluga,
Mujhe gulaabon ki patiyon mein talaash karna,
Main oss qatron ke aainon mein tumhen milunga,
Agar sitaaron mein, oss qatron mein, khushbuon mein na paao mujh ko,
Toh apne qadmon mein dekh lena,
Main gard karti masaafton mein tumhen milunga,
Kahin pe roshan chiraagh dekho toh jaan lena,
Ki har patange ke saath main bhi bikhar chuka hoon,
Tum apne haathon se un patangon ki khaak dariya mein daal dena,
Main khaak ban kar samandaron mein safar karunga,
Kisi na dekhe hue jazeere pe ruk ke tum ko sadaayen dunga,
Samandaron ke safar pe niklo toh us jazeere pe bhi utarna,
Agar kabhi meri yaad aaye…