Nikal ke halqa-e-shaam-o-sehar se jaayen kahin,
zameen ke saath na mil jaayen ye khalaayen kahin.
Safar ki raat hai pichhli kahaniyaan na kaho,
ruton ke saath palaTti hain kab hawaayen kahin.
Fazaa mein tairte rahte hain naqsh se kya kya,
mujhe talaash na karti hon ye balaayen kahin.
Hawa hai tez charaag-e-wafa ka zikr toh kiya,
tanaaben khema-e-jaan ki na toot jaayen kahin.
Main oss ban ke gul-e-harf par chamakta hun,
nikalne wala hai sooraj mujhe chhupaayen kahin.
Mere wajood pe utri hain lafz ki soorat,
bhatak rahi thi khalaayon mein ye sadaayen kahin.
Hawa ka lams hai paanv mein bediyon ki tarah,
shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaayen kahin.
Ruka hua hai sitaaron ka kaarwaan ‘amjad’
charaagh apne lahoo se hi ab jalaayen kahin. !!