Asslaam O Alaikum
Aik adhoore see tahreer likh raha hoon kaafi dino baad
TanhayioN mein jhakra hoa aik shaks jo mehfil ki talaash mein aik shaam apne apartment se nikal kar kayee door chal para
socho mein ghum,ansoN mein bhara hua or maazi ko apna haal banaye hoay
woh kayee kadam chalta raha.. na manzil ki khabar thi na safar ka andaza sirf kuch alfaz thay jo akhiri waqt uskee walidah nei ussay kahay thay
shayad woh baat sahi kahen likhi howi thi kay insan jab toot ta hai tu maa hi yaad ati hai
woh raat bhi kuch aisa hi hua tha, apne ird gird pheley hoay shor or logoN mein woh khud ko bas tanha samjh raha tha
samajhta bhi kion nahi jab uskey haqeeqi rishtay, kachay dhagoN ki tarah toot rahay thay
jin par woh kabhi maan kia karta tha aj unhe logoN ne usay sar e aam ruswah kiya !
aksar dekhne or sunnei main ata hai kay apke apne apne hi hotey hain but kuch batein
sirf kitaboN or falsafoN mein he durust lagtee hai
haqeeqat iske bar aks hote hai..
Alfazon mein uljha hoa woh insaan aj phir kisi dost ki talash mein nikla tha
phir apne zahan mein kayi yadeiN usay pagal sa karrhe thee
woh yahan wahan kisi se baat bhi karna chahta tu mumkin nahi tha . naya des or naye log uski baat sunte bhi kahaN suntay
Lekin Kia khoob kah gaye hain hamaray auliyaah
kay jab aap tanha hotay ho tu AIK Zaat (ALLAH) ap par saya kiye hota hai
apko woh kabhi tanha honay he nahi deta bazahir ap kitne he tanha kion na hoon..
Us lamhaat usne apne Rab se guftugu karna shuru kardii
woh us waqt Kaatib e Taqdeer se shayad Laad karrha tha ..
Muhabbat ka izhaar karrha tha
apna or apne Rabb kay darmiyan woh kisi ko nahi chahta tha
sirf Woh or Uska Allah
jahan woh apna dukh bas sunaye ja raha tha jese aik bin maa ka bacha buhut muddatoN baad apne maa se lipat kar apna dukh bayaan karrha hoo
theek usi tarah woh isi umeed par tha kay jawaab bhi ayenge
or wohee hua Jawaab Aaye..
Uske har sawaal ka Jawaab
uski har faryaad sunii gayee
kaatib e taqdeer ne uske zindagi ko apni taraf morh diya
. . .