Wahshat e jaaN ki pazeeraayi na kar paayega tu
Khud ko itnaa kabhi sahraayi na kar paayega tu
HaNstaa gaata hua ik shahr hai mujhmeiN maujood
Mere atraaf meiN tanhaayi na kar paayegaa tu
Mujhko dekhegaa baharhaal junooN karte hue
HaaN meri hauslaa-afzaayi na kar paayega tu
Abke lagta hai K beemaar huN maiN sach-much ka
Abke lagtaa hai maseehaayi na kar paayega tu
AaRay aa jaayegii har baar meri naadaani
Mere aage koi daanaayi na kar paayega tu
Khair duniyaa ka bhalaa tujhse kahaaN mumkin hai
Aur mere saath bhi acchaayi na kar paayega tu
MaiN wo patthar huN K jismeiN koi taaseer nahiN
Mukhtasar ye K jabeeNsaayi na kar paayega tu
Ab to har dasht meri zaat ka partau hai yahaaN
Is se badhkar mujhe saudaayi na kar paayega tu
Tujhse mansoob haiN ash’aar kuchh aise bhi mere
Ghaaliban jinki pazeeraayi na kar paayega tu
(Abhishek Shukla)