Gajar {Boiled}..............................................Aik Cup Chota Chota kat lein
Matar K Danay{Boiled}................................Aik Cup
Boiled Aaloo...........................Aik Cup Katay Hue
Bangobhi..............................Half Cup Bareek kati hui
Mayyonise........................................aik cup
Cream.............................Half cup {garhi wali leni hai}
{olpher's pakistani laug le sakte hain q k yeh kafi thick hoti hai aur achi bhi}
Namak.................................... Hasb e Zaiqa
{taqreeban 2 chutki lein q k mayyonise main already hai}
kali mirch........................................bareek pisi....................1 chutki
gajar.........................Bareek kati Garnish k liye
aur boiled eggs garnish k liye
-------------------------------------------------------------------------------------------
Sab sabziya siwaye band gobhi k jo ham ne anmak mile pani main boiled ki thin aik surakh wali tokri main dalein k azafi pani nikal jaye
ab aap ne mayyonise aur cream mix ker k is main sab sabziyan gajar bhi dal ekr achay s emix kerna hai aur ikhtyat s ek gajar na tootein
aur srvig dish main dal ker kadukash ki hui gajar se garnish kerien
Darmiyan main ab boiled eggs rkahein aur ap ki salad tyar yeh aap khanay se qabal bhi srv ker skate hain :-)
umeed hai yeh salad bhi apsand aaye gi aap ko yeh actually jab in laws aatay hain khane per tab ham bnatay hain sab ko pasand bhi ati hai aur aksar bhai k office bhi bhijwayi qeema bharay parathas k sath bhi maza deti hai yeh salad :-)
Aur yaad hai na bismillah her lamha parhni hai aur Sar dhanpe rakhna hai :-)
Ab ijazat dein Tc fi aman Allah
very nice
yummy sharing
thankew
v nicy