khabar tahiyyur-e-ishq sun na junoon raha na pari rahi
Na to tu raha na to main raha jo rahi so ik bekhbari rahi
Shah-e-bekhudi nay ata kia mujhey aab libas-e-barhanagee
Na khard ki bakhya giri rahee na junoon ki pardadari rahi
Chali simt-e-ghaib se ik hawa ke chaman zahoor ka chala
Magar ik shakh-e-nihal-e-gham jisey dil kahian so haree rahi
Nazr-e-taghaful-e-yar ka gila kis zuban se ho
Ke sharaab-sad-qadah-e-arzoo kham-e-dill main thee so bhare rahi
Woh ajab gahree thi main jis gharee liya dars nuskha-e-ishq ka
Ke kitab-e-aqal ki taaq main joon dahree thi yoonhi dahree rahi