Bohot Khubsoorat Sharing Hai
Jis Ne Bhi Ye Ghazal Likhi Hai
Khoon Ke Aansoo Ro Kar Likhi Hogi
Keep Sharing Pearl
tere aur mere dil kay darmian
ye jo ek rishta-e-dard hai
yahi ek rishta-e-dard to mujhay
apni jaa-n sai azeez hai
meri jaa-n agr kabhi youn bhi ho
keh mera khuda mujhay ye kahay
keh ye dard hain ye musaraten
ksi ek shay pai to hath rakh
to teri qasam
tera dard mujh ko azeez hai
shab-e-intzar ki chaashni main ghula howa
ye jo meetha meetha sa dard hai
isi dard sai to jahaan main
teri meri muhabbaton ka dawaam hai
yehi ek rishta-e-dard he meri sari umar ki kawisho-n ka inaam hai
Bohot Khubsoorat Sharing Hai
Jis Ne Bhi Ye Ghazal Likhi Hai
Khoon Ke Aansoo Ro Kar Likhi Hogi
Keep Sharing Pearl
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا
nazam
Lajawab Sharing