Results 1 to 4 of 4

Thread: jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

  1. #1
    Join Date
    Jul 2020
    Location
    pakistan
    Age
    20
    Posts
    32
    Mentioned
    1122 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

    jis ā.īne meñ bhī jhāñkā nazar usī se milī
    mujhe to apnī bhī yaaro ḳhabar usī se milī

    badal badal ke chalā samt o rahguzar bhī magar
    vo ik maqām ki har rahguzar usī se milī

    ham aise koī hunar-mand bhī na the phir bhī
    vo qadr-dāñ thā ki dād-e-hunar usī se milī

    vo kaun haiñ jo banāte haiñ apnī duniyā ḳhud
    hameñ to rone ko bhī chashm-e-tar usī se milī

    ajab thā shaḳhs jo phirtā thā ḳhud banā talvār
    chalī jo teġh to mujh ko sipar usī se milī

    qadam qadam pe the raste meñ mah-vashoñ ke hujūm
    milī kisī se to kar nazar usī se milī

    na kisht-zāroñ meñ dekhā jise na bāġhoñ meñ
    har ek fasl magar fasl par usī se milī

    tamām umr gurezāñ rahā thā jis se maiñ
    qadam lahad meñ jo rakkhe kamar usī se milī

    basīrat-e-nigah-o-dil paḌī nahīñ miltī
    milī jise bhī ye daulat 'umar' usī se milī

  2. #2
    Join Date
    Nov 2014
    Location
    Lahore,Pakistan
    Posts
    25,276
    Mentioned
    1562 Post(s)
    Tagged
    20 Thread(s)
    Rep Power
    214784

    Default Re: jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

    جس آئینے میں بھی جھانکا نظر اسی سے ملی
    مجھے تو اپنی بھی یارو خبر اسی سے ملی

    بدل بدل کے چلا سمت و رہ گزر بھی مگر
    وہ اک مقام کہ ہر رہ گزر اسی سے ملی

    ہم ایسے کوئی ہنر مند بھی نہ تھے پھر بھی
    وہ قدرداں تھا کہ داد ہنر اسی سے ملی

    وہ کون ہیں جو بناتے ہیں اپنی دنیا خود
    ہمیں تو رونے کو بھی چشم تر اسی سے ملی

    عجب تھا شخص جو پھرتا تھا خود بنا تلوار
    چلی جو تیغ تو مجھ کو سپر اسی سے ملی

    قدم قدم پہ تھے رستے میں مہ وشوں کے ہجوم
    ملی کسی سے تو جا کر نظر اسی سے ملی

    نہ کشت زاروں میں دیکھا جسے نہ باغوں میں
    ہر ایک فصل مگر فصل پر اسی سے ملی

    تمام عمر گریزاں رہا تھا جس سے میں
    قدم لحد میں جو رکھے کمر اسی سے ملی

    بصیرت نگہ و دل پڑی نہیں ملتی
    ملی جسے بھی یہ دولت عمرؔ اسی سے ملی
    عمر انصاری
    2gvsho3 - jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

  3. #3
    Join Date
    Nov 2014
    Location
    Lahore,Pakistan
    Posts
    25,276
    Mentioned
    1562 Post(s)
    Tagged
    20 Thread(s)
    Rep Power
    214784

    Default Re: jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

    2gvsho3 - jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

  4. #4
    Join Date
    Jan 2023
    Location
    Saudi Arabia
    Posts
    565
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    2

    Default Re: jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

    Nice one

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •